29 SEP (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala par bandon ka haq

Aaj Ki Hadees
Hazrat Mu'az Bin Jabal Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Mu'az ! tum jaante ho ke bandon par Allah Ta'ala ka kya haq hai ? aur Allah Ta'ala par bandon ka kya haq hai ? Maine arz kiya: Allah Ta'ala aur uske Rasool ziyaada jaante hain, Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Bandon par Allah Ta'ala ka haq ye hai ke uski ibaadat karein aur uske saath kisi ko shareek nakarein. Aur Allah Ta'ala par bandon ka haq ye hai ke jo banda uske saath kisi ko shareek na kare, use azaab na de. (Muslim: 144)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

28 SEP (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala Qayamat ke din zameen ko apne qabze mein lengey

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu Nabi Kareem ﷺ se riwaayat karte hain ke Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala Qayamat ke din zameen ko apne qabze mein lengey aur aasmaan ko apne dahine haath mein lapeteingey, phir farmaayeingey ke main hi baadshah hoon, kahan hain zameen ke baadshah? (Bukhari: 7382)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

27 SEP (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala se is haal me mile ke uske saath kisi ko shareek na tehrata ho

Aaj Ki Hadees
Hazrat Jabir Bin Abdullah Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmate hue suna: Jo shakhs Allah Ta'ala se is haal mein mile ke uske saath kisi ko shareek na tehrata ho, woh jannat mein daakhil hoga aur jo shakhs Allah Ta'ala se is haal mein mile ke woh uske saath kisi ko shareek tehrata ho, woh dozakh mein daakhil hoga. (Muslim: 270)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

26 SEP (Aaj Ki Hadees) - Jo shakhs Qayamat ke din "La ilaha illallah" ko is tarha se kehta hua aaye

Aaj Ki Hadees
Hazrat 'Itban Bin Malik Ansari Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs Qayamat ke din "La ilaha illallah" ko is tarha se kehta hua aaye ke is kalima ke zariye Allah Ta'ala hi ki razamandi chahta ho Allah Ta'ala uspar dozakh ki aag ko zaroor haraam farma deingey. (Bukhari: 6423)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

25 SEP (Aaj Ki Hadees) - Meri shafaat ka sabse zyaada nafaa uthaane waala

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Meri shafaat ka sabse zyaada nafaa uthaane waala woh shakhs hoga jo apne dil ke khuloos ke saath "La ilaha illallah" kahe. (Bukhari: 6570)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

24 SEP (Aaj Ki Hadees) - Hamare dilon mein baaz aise khayalat aate hain

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu farmaate hain chand Sahaba Raziyallahu Anhum Rasulullah ﷺ ki khidmat mein haazir hue aur arz kiya: Hamare dilon mein baaz aise khayalat aate hain ke unko zubaan par laana hum bahot bura samjhte hain. Rasulullah ﷺ ne daryaft farmaaya: Kya waaqai tum un khayalat ko zubaan par laana bura samjhte ho? Arz kiya: ji haan! Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: yahi to imaan hai. (Muslim: 340)
 
Faida: Yani jab ye waswase wa khayalat tumhein itne pareshaan karte hain ke un par yaqeen rakhna to door ki baat, un ko zubaan par laana bhi tumhe gawaara nahi, to yahi to kamal-e-imaan ki nishaani hai. (Nawawi)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

23 SEP (Aaj Ki Hadees) - Koi banda momin nahi ho sakta, jab tak chaar cheezon par Imaan na le aaye.

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Koi banda momin nahi ho sakta, jab tak chaar cheezon par Imaan na le aaye.
 
1) Is baat ki gawahi de ke Allah Ta'ala ke siwa koi zaat ibaadat wa bandagi ke layaq nahin aur Main (Muhammad ﷺ ) Allah Ta'ala ka Rasool hoon, unhone mujhe haq dekar bheja hai,

2) Marne par Imaan laaye,

3) Marne ke baad dubaara uthaye jaane par Imaan laye,

4) Taqdeer par Imaan laye.

(Tirmizi: 2145)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

22 SEP (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala ne Meri ummat ke (un) waswason ko mu'af farma diya hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ne Meri ummat ke (un) waswason ko mu'af farma diya hai (jo Imaan aur yaqeen ke khilaaf ya gunah ke baare mein unke dil mein baghair ekhtiyaar ke aayein) jab tak ke woh in waswason ke mutabiq amal na karlein ya unko zuban par na layein. (Bukhari: 2528)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

21 SEP (Aaj Ki Hadees) - Jahannam Mein Daakhil Ho Ya Dozakh Ki Aag Is Ko Khaye

Aaj Ki Hadees
Hazrat Itbaan Bin Malik Raziyallahu 'Anhuma se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Aisa nahi ho sakta ke koi shakhs is baat ki gawahi de ke Allah Ta'ala ke siwaa koi ma'abood nahin aur Main (Muhammad ﷺ ) Allah Ta'ala ka Rasool hoon, phir woh jahannam mein daakhil ho ya dozakh ki aag is ko khaye. (Muslim: 149)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp