28 APRIL (Hadees) Azaan Aur Iqaamat Ke Darmiyani Waqt Mein Ki Dua Rad Nahi Hoti Yani Qubool Hoti Hai

Hadees
Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Azaan aur iqaamat ke darmiyani waqt mein ki dua rad nahi hoti yani qubool hoti hai. Sahaaba-e-Kiraam Raziyallahu 'anhum ne arz kiya: Ya Rasulullah! Hum kya dua maange? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala se duniya wa aakhirat ki aafiyat maanga karo. (Tirmizi: 3594)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 28 (Quran) - {Urdu-Eng}

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Beshak Allah Ta'ala se unke wohi bande darte hain jo unki Azmat ka Ilm rakhte hain. (Fatir 35: 28)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

27 APRIL (Hadees) - Ya Rasulullah! Azaan Kehne Waale Ham Se Ajar Wo Sawaab Mein Badhehue Hain

Hadees
Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu 'anhuma farmaate hain ke ek shakhs ne arz kiya: Ya Rasulullah! azaan kehne waale ham se Ajar wo swab mein badhehue hai (Kya koi aisa amal hai ke humein bhi azaan dene wali fazilat miljaaye ?) Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Wohi kalimaat kaha karo jo mu'azzin kehte hain phir jab tum azaan ka jawaab de chuke to dua maango (jo maangoge) wo diya jayega. (Abu Dawud: 524)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 27 (Quran) - {Urdu-Eng}

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur Hum ye misaalein logon ke liye bayaan karte hai, (lekin) inhe ilm waale hi samajhte hain. (Al-'Ankabut 29: 43)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

26 APRIL (Hadees) - Achchha Khuwaab Allah Ta'ala Ki Taraf Se Hai

Hadees
Hazrat Abu Qatadah Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke maine Nabi Kareem ﷺ ko irshaad farmaate hue suna: Achchha Khuwaab Allah Ta'ala ki taraf se hai aur bura khuwaab (jis mein ghabrahat ho) shaitan ki taraf se hai. Jab tum mein se koi khuwaab mein napasandida cheez dekhe to jis waqt uthe (apni bayein taraf) teen martaba thuthkaare aur us khuwaab ki burai se Allah Ta'ala ki panah maange to woh khuwaab us shakhs ko nuqsaan na pahunchayega. (Bukhari: 5747)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 26 (Quran) - {Urdu-Eng}

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur bilashubah humne Dawud aur Sulaiman ko ilm ataa farmaaya aur us par un dono Nabiyon ne kaha ke sab tareefein us Allah Ta'ala ke liye hain jinho ne hamein apne bahut se Imaan waale bandon par fazilat di. (An-Nam 27: 15)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

25 APRIL (Hadees) - Jo Musalmaan Bhi Raat Ko Bawazu Zikr Karte Hue Sota Hai

Hadees
Hazrat Mu'az bin jabal Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo Musalmaan bhi raat ko bawazu zikr karte hue sota hai phir jab kisi waqt raat mein uski aankh khulti hai aur wo Allah Ta'ala se duniya wa aakhirat ki kisi bhi khair ka sawaal karta hai Allah Ta'ala use wo cheez zaroor ataa farmaate hain. (Abu Dawud: 5042)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 25 (Quran) - {Urdu-Eng}

Rasool Allah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) se khitaab hai (Tarjama): Aur Aap ye dua kijiye ke Aye mere Rabb mera Ilm bada dijiye. (Ta Ha 20: 1 14)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

24 APRIL (Hadees) - Teen Duaain Khaas Taur Par Qubool Ki Jaati Hain

Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Teen duaain khaas taur par qubool ki jaati hain jin ke qubool hone mein koi shak nahi (aulaad ke haq mein) baap ki dua, musaafir ki dua aur mazloom ki dua. (Abu Dawud: 1536)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp