Hazrat Abu Moosa Ashari Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Teen qism ke logon ka Ikraam karna Allah Ta'ala ki ta'zeem karne mein shaamil hai. Ek budha musalmaan, dusra wo Hafiz-e-Quran, jo aitedaal par rahe, teesra insaaf karne waala haakim. (Abu Dawud: 4843)
Faida: Aitedaal par rehne ka matlab ye hai ke Quran-e-Shareef ki
tilaawat ka ehtemaam bhi kare aur riyaakaron ki tarah tajweed aur hurf
ki adayegi mein tajawuz na kare.
0 comments:
Post a Comment