04 SEP (Aaj Ki Hadees) - Jo do thandi Namazein padhta hai wo jannat mein daakhil hoga

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Musa Raziyallahu Anhu riwaayat farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo do thandi Namaazein padhta hai wo jannat mein daakhil hoga. (Bukhari: 574)
 
Faida: Do thandi Namazon se muraad fajr aur asar ki Namaz hai. Fajr thande waqt ke ikhtetaam per aur asar thandak ki ibteda per ada ki jaati hai. In dono Namazon ka khaas taur par isliye zikr farmaaya ke fajr ki Namaz neend ke ghalba ki wajah se aur asar ki Namaz karobaar ki mashghuliyat ki wajah se padhna mushkil hota hai lehaza in do Namazon ka ehtemaam karne waala yaqeenan baaqi teen Namazon ka bhi ehtemaam karega. (Mirqat)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

0 comments:

Post a Comment