03 APRIL (Hadees) - Zina Karne Waala Jis Waqt Zina Kar Raha Hota Hai Woh Momin Nahin Reh Jaata

Hadees
Rasullullah ﷺ ne farmaaya: Zina karne waala jis waqt zina kar raha hota hai woh momin nahin reh jaata. Imaan us se alag ho jaata hai (phir baad mein jab woh zina se alag hota hai, to us ka Imaan laut aata hai) (Bukhari: 6782)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

02 APRIL (Hadees) - Jab Momin Banda Koi Gunah Karta Hai

Hadees
Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab momin banda koi gunah karta hai, to us ki wajah se us ke dil par ek siyaah nukta lag jaata hai phir jab woh us gunah se ruk jaata hai aur toba wa istigfaar kar leta hai, to (woh kaala nukta khatm hojaata hai aur) dil bilkul saaf hojaata hai (aur agar us ne toba wa istigfaar nahin kiya) aur mazeed gunah karta raha to dil ki woh siyaahi badhti jaati hai yahaan tak ke poore dil par chha jaati hai. (Tirimizi: 3334)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

01 APRIL (Hadees) - Allah Ta'ala Ke Zikr Ke Alaawah Ziyaadah Baat Naa Kiya Karo

Hadees
Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Allah Ta'ala Ke Zikr Ke Alaawah Ziyaadah Baat Naa Kiya Karo, Is Liye Ke Allah Ta'ala Ke Zikr Ke Alaawah Ziyaadah Baat Karna Dil Ki Sakhti Ka Sabab Hai, Aur Allah Ta'ala Se Sab Se Ziyaadah Door Woh Shakhs Hai Jo Sakht Dil Ho. (Tirmizi: 2411)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

31 MARCH (Hadees) - Har Shakhs Maut Ke Baad Afsos Karega

Hadees
Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Har shakhs maut ke baad afsos karega, Sahaaba (Raziyallahu Anhum) ne arz kiya: Ya Rasoolullah! Kis baat ka afsos karega? Aap ﷺ ne farmaaya: Agar nek hai, to ziyaada neki na karne ka afsos karega aur agar gunhagaar hai to gunaah se na rukne par afsos karega. (Tirimizi: 2403)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

30 MARCH (Hadees) - Zalzalon, Sooraton Ke Maskh Kiye Jaane Aur Patthar Barasne Ka Intezaar Karo30 MARCH (Hadees) - Zalzalon, Sooraton Ke Maskh Kiye Jaane Aur Patthar Barasne Ka Intezaar Karo

Hadees
Huzoor ﷺ ka irshaad hai: Jab Maal-e-Ganeemat ko zaati daulat banaaya jaane lage, amaanat ko ganeemat ka maal aur Zakaat ko taawaan samajh liya jaaye, ilm ko Deen ke alaawa kisi aur maqsad ke liye seekha jaane lage, log apni biwi ki farmaanbardaari kare aur apni maan ki naafarmaani karein aur doston ko apne qareeb karein aur baap ko door karein, masjidon mein aawaazein buland hon, qabeele ki sardaari un mein ka faasiq shakhs kare, qaum ka leader un mein ka kameena aadmi ho aur aadmi ka us ke shar ke dar se ikraam kiya jaaye aur gaane waaliyaan aur raag baaje aam ho jaayein aur sharaab pi jaane lage aur Ummat ke baad waale pehle logon par laanat karein, to us waqt surkh aandhiyon, zalzalon, zameen mein dhansaaye jaane, sooraton ke maskh kiye jaane aur patthar barasne ka intezaar karo aur (un ke alaawa isi tarah ki) doosri nishaaniyon ka (intezaar karo) jo lagaataar is tarah aayeingi jaise kisi haar ke dhaage ke toot jaane par us ke daane lagaataar tootne lagte hain. (Tirmizi: 2211)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

29 MARCH (Hadees) - Allah Par Aisa Tawakkul Aur Aisa Etemaad Karo

Hadees
Rasulullaah ﷺ ne irshaad farmaaya ke agar tum log Allah par aisa tawakkul aur aisa etemaad karo jaisa ke us par tawakkul karne ka haq hai to tum ko woh is tarah rozi de jis tarah parindon ko deta hai, woh subah ko bhooke apne aashiyaanon se nikalte hain aur shaam ko pet bhare waapas aate hai. (Tirmizi: 2344)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

28 MARCH (Hadees) - Tum Mein Se Koi Apne Doosre Bhaai Ki Lakdi Aur Chhadi Bhi (Bagair Ijaazat) Na Le

Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Tum mein se koi apne doosre bhaai ki lakdi aur chhadi bhi (bagair ijaazat) na le, na hi mazaaq mein aur na hi lene ke iraade se. Aur agar kisi ne le liya ho, to us ko waapas kar de. (Tirmizi: 2160)
 
Matlab yeh hai ke lakdi aur chhadi jaisi maamooli cheez bhi ijaazat ke bagair nahin lena chaahiye, hatta ke hansi mazaaq mein bhi aisa na kare. Aur agar kisi ki koi cheez galti se leli hai, to us ko waapas kar dena chaahiye, yeh nahin samajhna chaahiye ke yeh to ek maamooli cheez hai is ko waapas karne ki kya zaroorat hai.

Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

27 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Aadmi Ka Raaste Se Takleefdeh Cheez Ko Hata Dena Sadqa Hai

Hadees
Aadmi ka raaste se takleefdeh cheez ko hata dena sadqa hai. (Abu Dawood: 1285)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

26 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Chaar Cheezein Ambiya Ki Sunnaton Mein Se Hai

Hadees
Huzoor ﷺ ka irshaad hai: Chaar cheezein Ambiya ki Sunnaton mein se hai: Sharm-o-Haya, Khushbu lagaana, miswaak karna aur Nikaah karna. (Tirmizi: 1080)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp