Showing posts with label March. Show all posts
Showing posts with label March. Show all posts

31 MARCH (Hadees) - Har Shakhs Maut Ke Baad Afsos Karega

Hadees
Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Har shakhs maut ke baad afsos karega, Sahaaba (Raziyallahu Anhum) ne arz kiya: Ya Rasoolullah! Kis baat ka afsos karega? Aap ﷺ ne farmaaya: Agar nek hai, to ziyaada neki na karne ka afsos karega aur agar gunhagaar hai to gunaah se na rukne par afsos karega. (Tirimizi: 2403)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 31 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmata hai (Tarjama): Allah ne momin mardon aur momin aurton se waada kiya hai aise baagaat ka jin ke neeche nehrein behti hongi, jin mein woh hamesha raheinge aur aise paakeeza makaanaat ka jo sadaabahaar baagaat mein honge. Aur Allah ki taraf se khushnoodi to sab se badi cheez hai (jo Jannat waalon ko naseeb hongi) yahi to zabardast kaamiyaabi hai. (Sura-e-Tauba: 72)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

30 MARCH (Hadees) - Zalzalon, Sooraton Ke Maskh Kiye Jaane Aur Patthar Barasne Ka Intezaar Karo

Hadees
Huzoor ﷺ ka irshaad hai: Jab Maal-e-Ganeemat ko zaati daulat banaaya jaane lage, amaanat ko ganeemat ka maal aur Zakaat ko taawaan samajh liya jaaye, ilm ko Deen ke alaawa kisi aur maqsad ke liye seekha jaane lage, log apni biwi ki farmaanbardaari kare aur apni maan ki naafarmaani karein aur doston ko apne qareeb karein aur baap ko door karein, masjidon mein aawaazein buland hon, qabeele ki sardaari un mein ka faasiq shakhs kare, qaum ka leader un mein ka kameena aadmi ho aur aadmi ka us ke shar ke dar se ikraam kiya jaaye aur gaane waaliyaan aur raag baaje aam ho jaayein aur sharaab pi jaane lage aur Ummat ke baad waale pehle logon par laanat karein, to us waqt surkh aandhiyon, zalzalon, zameen mein dhansaaye jaane, sooraton ke maskh kiye jaane aur patthar barasne ka intezaar karo aur (un ke alaawa isi tarah ki) doosri nishaaniyon ka (intezaar karo) jo lagaataar is tarah aayeingi jaise kisi haar ke dhaage ke toot jaane par us ke daane lagaataar tootne lagte hain. (Tirmizi: 2211)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 30 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aur aasmaan wa zameen mein jo kuchh hai, sab ko us ne apni taraf se tumhaare kaam mein laga rakha hai. Yaqeenan us mein un logon ke liye badi nishaaniyaan hain jo gaor-o-fikr se kaam lein. (Sura-e-Jaasiyah: 13)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 29 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): So jo Allah par Iman laaya, aur Allah hi ko mazboot pakde raha, to Allah usko apne fazl-o-karam se apni rehmat mein daakhil karega aur apni taraf ka raasta dikhaa dega. (Sura-e-Nisa: 175)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

29 MARCH (Hadees) - Allah Par Aisa Tawakkul Aur Aisa Etemaad Karo

Hadees
Rasulullaah ﷺ ne irshaad farmaaya ke agar tum log Allah par aisa tawakkul aur aisa etemaad karo jaisa ke us par tawakkul karne ka haq hai to tum ko woh is tarah rozi de jis tarah parindon ko deta hai, woh subah ko bhooke apne aashiyaanon se nikalte hain aur shaam ko pet bhare waapas aate hai. (Tirmizi: 2344)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

28 MARCH (Hadees) - Tum Mein Se Koi Apne Doosre Bhaai Ki Lakdi Aur Chhadi Bhi (Bagair Ijaazat) Na Le

Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Tum mein se koi apne doosre bhaai ki lakdi aur chhadi bhi (bagair ijaazat) na le, na hi mazaaq mein aur na hi lene ke iraade se. Aur agar kisi ne le liya ho, to us ko waapas kar de. (Tirmizi: 2160)
 
Matlab yeh hai ke lakdi aur chhadi jaisi maamooli cheez bhi ijaazat ke bagair nahin lena chaahiye, hatta ke hansi mazaaq mein bhi aisa na kare. Aur agar kisi ki koi cheez galti se leli hai, to us ko waapas kar dena chaahiye, yeh nahin samajhna chaahiye ke yeh to ek maamooli cheez hai is ko waapas karne ki kya zaroorat hai.

Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 28 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur Allah Ta'ala tumhare saath hai jahan kahin tum ho. (Al-Hadid: 4)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

27 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Aadmi Ka Raaste Se Takleefdeh Cheez Ko Hata Dena Sadqa Hai

Hadees
Aadmi ka raaste se takleefdeh cheez ko hata dena sadqa hai. (Abu Dawood: 1285)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 27 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai: Insaan apne Rab ka bada hi na shukra hai, haalaanke us ko bhi is ki khabar hai (Aur woh aisa muaamla is liye karta hai) ke us ko maal ki muhabbat ziyaadah hai. (Sura-e-Aadiyaat: 6-8)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

26 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Chaar Cheezein Ambiya Ki Sunnaton Mein Se Hai

Hadees
Huzoor ﷺ ka irshaad hai: Chaar cheezein Ambiya ki Sunnaton mein se hai: Sharm-o-Haya, Khushbu lagaana, miswaak karna aur Nikaah karna. (Tirmizi: 1080)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 26 (Quran)

Allah Ta'ala ne apne Rasool ﷺ se irshaad farmaaya (Tarjama): Aap keh dijiye ke agar tum Allah Ta'ala se mohabbat karte ho to tum meri farmabardaari karo aur Allah Ta'ala tum se mohabbat kareingey aur tumhare sab gunah bakhsh deingey aur Allah Ta'ala bahut bakhshne waale meharbaan hain. (Al-Imran 3: 31)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

25 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Aurat Ko Pasli Se Paida Kiya Gaya Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Aurat ko pasli se paida kiya gaya hai, aur woh tujh se kabhi seedhi nahi chal sakti; lihaaza agar tu us ke andar tedhaapan hote huwe us se faaida uthaana chaahta hai to uthaale aur agar tune use seedha karne ki koshish ki, to tu use tod dega aur us ka todna talaaq hai. (Muslim: 3643)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 25 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Jo kuch tumhare paas duniya mein hai woh ek din khatm hojayega aur jo amal tum Allah Ta'ala ke paas bhej doge woh hamesha baaqi rahega. (Al-Nahl 16: 96)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 24 (Quran)

Allah Ta'ala ne apne Rasool Sallahu 'alaihi wassallam se irshaad farmaaya (Tarjama): Aur aap us zabardast rahem karne waale par bharosa rakhiye jo aapko us waqt bhi dekhta hai jab aap tahajjud ki Namaaz keliye khade hote hain aur us waqt bhi aapke uthne baitne ko dekhta hai jab aap Namaazon mein hote hain. Beshak wohi khoob sunne waala, jaanne waala hai. (Ash-Shu'ara: 217-220)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

24 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Momin Taana Dene Waala, Laanat Karne Waala, Gandi Baatein Karne Waala...

Hadees
Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin taana dene waala, laanat karne waala, gandi baatein karne waala aur behaya nahin hota. (Tirimizi: 1977)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

23 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Tum Apni Masjidon Se Chhote Bachchon Aur Paagalon Ko Door Rakho

Hadees
Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum apni masjidon se chhote bachchon aur paagalon ko door rakho (un ko masjid mein na aane do) aur khareed-o-farokht, ladaai jhagde aur shor hangaame (masjid mein) na kiya karo. (Ibne Maajah: 750)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 23 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Us (Allah) ne tum par mara hua Jaanwar aur Khoon aur Suwar ka ghosht aur jis cheez par Allah ke siwa kisi aur ka naam pukara jaye, haram kar diya hai. Lekin Jo majboor ho jaye (aur woh) na sarkashi (nafarmani) karne wala ho aur na hadd se badne wala ho us par koyee gunaah nahi, beshak Allah subhanahu bakshne wala aur raham, karne wala hai. (Surah Baqara 2: 173)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

22 MARCH (Aaj Ki Hadees)- Jo Shakhs Azaan Ki Aawaaz Sune Aur Bila Uzr Namaaz Ke Liye Masjid Na Jaaye

Hadees
Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs azaan ki aawaaz sune aur bila uzr Namaaz ke liye masjid na jaaye uski Namaaz qubool nahin hoti. (Ibn-e-Maaja: 793)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 22 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aye Aadam ke beto aur betiyo! Shaitaan ko aisa mauqa hargiz na dena ke woh tumhein is tarah fitne mein daal de jaise us ne tumhaare maan baap ko Jannat se nikaala, jab ke un ka libaas un ke jism se utarwa liya tha, taake un ke ek doosre ki sharm ki jagah dikha de. Woh aur us ka jattha tumhein wahaan se dekhta hai jahaan se tum unhein nahin dekh sakte. Un shaitaanon ko ham ne unhi ka dost bana diya hai jo imaan nahin laate aur jab yeh (kaafir) log koi be-hayaai ka kaam karte hain to kehte hain ke ham ne apne baap daadaaon ko isi tareeqe par paaya hai, aur Allah ne hamein aisa hi hukm diya hai. Tum (un se) kaho ke: Allah be-hayaai ka hukm nahin diya karta. Kya tum woh baatein Allah ke naam lagaate ho jin ka tumhein zara ilm nahin? (Sura-e-Aaraaf 7: 27-28)

Share on: