Showing posts with label Tirmizi. Show all posts
Showing posts with label Tirmizi. Show all posts

12 MAY (Hadees) - Aapas Mein Hadiya Liya Diya Karo

Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Aapas mein hadiya liya diya Karo, kyun ke hadiya aur tohfa dilon se keene ko khatm kar deta hai. (Tirmizi: 2130)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

18 APRIL (Hadees) - Qatl Karne Mein Shareek

Hadees
Hazrat Abu Sa'id Al-Khudri aur Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhuma Rasullullah ﷺ ka irshaad naql farmaate hain ke agar aasmaan-o-zameen waale sab ke sab kisi momin ke qatl karne mein shareek hojayein to bhi Allah Ta'ala in sab ko aundhe mooh jahannam mein daal deinge. (Tirmizi: 1398)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

16 APRIL (Hadees) - Murdon Ko Bura Bhala Mat Kaho Ke Isse Tum Zindon Ko Takleef Pahunchaoge

Hadees
Hazrat Mughirah Bin Shu'bah Raziyallahu 'anhu farmaate hain ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Murdon ko bura bhala mat kaho ke isse tum zindon ko takleef pahunchaoge. (Tirmizi: 1982)

Faaida: Matlab ye hai ke marne waale ko bura bhala kehne se uske azeezon ko takleef hogi aur jisko bura bhala kaha gaya use koi nuqsaan nahin hoga.


Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

13 APRIL (Hadees) - Mujahid Woh Hai Jo Apne Nafs Se Jihad Kare

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Fazala Bin Ubaid (Raziyallahu Anhu) riwayat karte hain ke Nabi Kareem (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaaya: Mujahid woh hai jo apne nafs se jihad kare yani nafsani khuwaishaat ke khilaf chalne ki koshish kare. (Tirmizi: 1621)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

12 APRIL (Hadees) - Bande Ko Jo Halki Ya Sakht Museebat Pesh Aati Hai

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Bande ko jo halki ya sakht museebat pesh aati hai, woh us ke gunaah ka nateeja hoti hai, aur bahot saare gunaahon ko to Allah Ta'ala maaf farma dete hain. (Tirmizi: 3252)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

09 APRIL (Hadees) - Jis Ne Meri Sunnat Zinda Ki Us Ne Mujh Se Muhabbat Ki

Hadees
Rasoolullah (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaaya ke jis ne meri sunnat zinda ki us ne mujh se muhabbat ki aur jis ne mujh se muhabbat ki woh Jannat mein mere saath hoga. (Tirmizi: 2678)
 
Faida: Allah Ta'ala ke yahaan wahi amal maqbool hota hai jo Huzoor (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ke tareeqon ke mutaabiq ho. Lihaaza Huzoor (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ke tareeqon ko jaanna aur Aap (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ki batlaai hui duaaon, sunnaton aur aadaab ko seekhna aur un par amal karna ummat ke har fard ke liye zaroori hai.

Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

07 APRIL (Hadees) - Jis Shakhs Ne Ilm Allah Ta'ala Ki Raza Ke Alawa Kisi Aur Maqsad Keliye Sikha

Hadees
Hazrat Abdullah Bin Umar (Raziyallahu Anhu) se riwayat hai ke Rasool Allah (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne ilm Allah Ta'ala ki raza ke alawa kisi aur maqsad (masalan izzat, shauhrat, maal waghaira hasil karne) keliye sikha to woh apna thikana Jahannum mein banale. (Tirmizi: 2655)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

01 APRIL (Hadees) - Allah Ta'ala Ke Zikr Ke Alaawah Ziyaadah Baat Naa Kiya Karo

Hadees
Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Allah Ta'ala Ke Zikr Ke Alaawah Ziyaadah Baat Naa Kiya Karo, Is Liye Ke Allah Ta'ala Ke Zikr Ke Alaawah Ziyaadah Baat Karna Dil Ki Sakhti Ka Sabab Hai, Aur Allah Ta'ala Se Sab Se Ziyaadah Door Woh Shakhs Hai Jo Sakht Dil Ho. (Tirmizi: 2411)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp