Showing posts with label Quran. Show all posts
Showing posts with label Quran. Show all posts
April - 21 (Quran)
Allah Ta'ala ne apne Rasool Sallahu 'alaihi wassallam se irshaad farmaaya (Tarjama): Phir beshak aap ka Rabb un logon keliye jo nadaani se koyi burayee kar baithein phir is burayee ke baad wo tauba karlein aur apne aamaal durust karlein to beshak aapka Rabb is tauba ke baad bada bakshne waala, nihaayat meherbaan hai. (An-Nahl: 119)
April - 19 (Quran)
Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aur jo log Imaan laaye hain aur unhon ne nek amal kiye hain, ham un ko aise baagaat mein daakhil kareingey jin ke neeche nehrein behti hongi, yeh un mein hamesha hamesha raheinge ye Allah ka sachcha wa'ada hai aur Allah se ziyaada baat ka sachcha kaun ho sakta hai. (Sura-e-Nisa: 122)
April - 13 (Quran)
Allah Ta'ala ne apne Rasool Sallahu 'alaihi wassallam se irshaad farmaaya (Tarjama): Aur subah wa shaam apne Rabb ko dil hi mein aajizi, khauf aur past awaaz se Qur'an Kareem padh kar ya tasbeeh karte hue yaad karte rahiye, aur ghaafil na rahiye. (Al-A'araf: 205)
April - 11 (Quran)
Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Jo koi shakhs Islam ke siwa koi aur Deen ikhtiyaar karna chaahega, to us se woh Deen qubool nahin kiya jaayega aur aakhirat mein un logon mein shaamil hoga jo sakht nuqsaan uthhaane waale hain. (Surah Aal-e-Imran: 85)
