Showing posts with label Imaan. Show all posts
Showing posts with label Imaan. Show all posts

April - 26 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur bilashubah humne Dawud aur Sulaiman ko ilm ataa farmaaya aur us par un dono Nabiyon ne kaha ke sab tareefein us Allah Ta'ala ke liye hain jinho ne hamein apne bahut se Imaan waale bandon par fazilat di. (An-Nam 27: 15)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 19 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aur jo log Imaan laaye hain aur unhon ne nek amal kiye hain, ham un ko aise baagaat mein daakhil kareingey jin ke neeche nehrein behti hongi, yeh un mein hamesha hamesha raheinge ye Allah ka sachcha wa'ada hai aur Allah se ziyaada baat ka sachcha kaun ho sakta hai. (Sura-e-Nisa: 122)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 08 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjuma): Imaan waalo! Tum Allah Ta'ala ke saamne sachche dil se tauba karo (ke dil mein is gunah ka khayal bhi na rahe). (Surah At-Tahrim 66: 8)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 07 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Beshak Namaaz Imaan Waalon par Waqt ki Paabandi ke Saath Farz hai. (Sura-e-Nisa: 103)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 20 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Jo log Imaan laye aur Naik amal karte rahe khususan Namaz ki pabandi ki aur zakaat adaa ki to unke Rabb ke paas unka sawaab mehfooz hai aur na unko kisi qism ka khauf hoga aur na woh ghamgeen honge. (Al-Baqarah 2: 277)


Share on: