Showing posts with label Qur'aan. Show all posts
Showing posts with label Qur'aan. Show all posts

April - 30 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai: Khabardaar zina ke qareeb bhi na phatko. Beshak zina badi behayaai aur buraai ka raasta hai. (Sura-e-Bani Israel: 32)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 29 (Quran)

Hazrat Shoaib 'alaihissalam ne apni qaum se farmaaya (Tarjama): (Aur main jis tarha in baaton ki tum ko taleem karta hoon, khud bhi to is par amal karta hoon) aur main ye nahi chahta ke jis kaam se tumhein mana karoon mein khud use karoon. (Hud 11: 88)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 28 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Beshak Allah Ta'ala se unke wohi bande darte hain jo unki Azmat ka Ilm rakhte hain. (Fatir 35: 28)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 27 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur Hum ye misaalein logon ke liye bayaan karte hai, (lekin) inhe ilm waale hi samajhte hain. (Al-'Ankabut 29: 43)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 24 (Quran)

Rasool Allah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) se khitaab hai (Tarjama): Allah Ta'ala ne aap par kitaab aur ilm ki baatein nazil farmayi aur aap ko woh baatein sikhai jo aap na jaante the aur aap par Allah Ta'ala ka bada fazal hai. (An-Nisa 4: 113)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 23 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur Allah Ta'ala khoob paak rehne waalon ko pasand farmate hain. (At-Tauba 9: 108)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 22 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Tum log Allah Ta'ala se isteghfaar kyun nahi karte taake tum par rahem kiya jaye. (An-Naml: 46)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 21 (Quran)

Allah Ta'ala ne apne Rasool Sallahu 'alaihi wassallam se irshaad farmaaya (Tarjama): Phir beshak aap ka Rabb un logon keliye jo nadaani se koyi burayee kar baithein phir is burayee ke baad wo tauba karlein aur apne aamaal durust karlein to beshak aapka Rabb is tauba ke baad bada bakshne waala, nihaayat meherbaan hai. (An-Nahl: 119)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 17 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur sach mein jhoot ko na milao aur jaan-bujh kar haqq ko (yani shara'ee ehkaam ko) na chupao jab ke tum jaante ho. (Al-Baqarah 2: 42)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

April - 12 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur kitne jaanwar hain jo apna rizq uthhaaye nahin phirte! Allah unhein bhi rizq deta hai aur tumhein bhi, aur wahi hai jo har baat sunta hai, har cheez jaanta hai. (Sura-e-Ankaboot: 60)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 07 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Beshak Namaaz Imaan Waalon par Waqt ki Paabandi ke Saath Farz hai. (Sura-e-Nisa: 103)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 05 (Quran)

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Haqeeqat yeh hai ke ham ne aadam ki aulaad (insaan) ko izzat bakhshi hai, aur unhein khushki aur samander donon mein sawaariyaan muhayya ki hain aur un ko paakeezah cheez ka rizq diya hai aur un ko apni bahot si makhlooqaat par fazeelat ata ki hai. (Sura-e-Bani Israail: 70)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp