Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu 'anhuma riwaayat karte hain ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Apne (musalmaan) murdon ki khoobiyan bayaan kiya karo aur unki buraiyan na bayan karo. (Abu Dawud: 4900)
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Kabira gunahon mein se ek badaa gunah kisi musalmaan ki izzat par nahaq hamla karna hai. (Abu Dawud: 4877)
Rasullullah ﷺ ne farmaaya: Chor Imaan ki haalat mein chori nahin karta (Yaani chori ke waqt chor ka imaan nikal jaata hai, phir baad mein Imaan laut aata hai). (Abu Dawud: 4689)