June - 30

Aaj Ki Hadees
خَيْرُكُمْ مَنْ تَعَلَّمَ الْقُرْآنَ وَعَلَّمَهُ
 
Khairukum man ta'allamal Qur'aana wa 'allamah

Tarjama: Tum mein sab se behtar woh hai jo Qur'aan ko seekhe aur sikhaaye.

(Bukhaari: 5027)

Qur'an-e-Kareem duniya ki sab se achchhi kitaab hai, is mein achchi achchi baatein aur qisse hain. Jin ko padh kar insaan ko sukoon milta hai, aur us par amal karne se duniya-o-aakhirat mein kaamyaabi milti hai, jo aadmi Qur'aan padhta aur padhaata hai, woh sab se achchha aadmi hai.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

June - 29

Aaj Ki Hadees
مَنْ سَتَرَ مُسْلِمًا سَتَرَهُ اللهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ
 
Man satara musliman satarahullaahu yaumal qiyaamah

Tarjama: Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs kisi musalmaan ke aib ko chupaata hai Allah Ta'ala Qayaamat ke din us ke aib ko chupaayega.

(Bukhari: 2442)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp