Showing posts with label Qur'an. Show all posts
Showing posts with label Qur'an. Show all posts

April - 07 (Quran)

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Jo shakhs mehnat karta hai wo apne nafa ke liye mehnat karta hai (warna) Allah Ta'ala ko to tamaam jahaan waalon mein se kisi ki hajat nahin. (Surah Al-Ankabut: 6)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 22 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aye Aadam ke beto aur betiyo! Shaitaan ko aisa mauqa hargiz na dena ke woh tumhein is tarah fitne mein daal de jaise us ne tumhaare maan baap ko Jannat se nikaala, jab ke un ka libaas un ke jism se utarwa liya tha, taake un ke ek doosre ki sharm ki jagah dikha de. Woh aur us ka jattha tumhein wahaan se dekhta hai jahaan se tum unhein nahin dekh sakte. Un shaitaanon ko ham ne unhi ka dost bana diya hai jo imaan nahin laate aur jab yeh (kaafir) log koi be-hayaai ka kaam karte hain to kehte hain ke ham ne apne baap daadaaon ko isi tareeqe par paaya hai, aur Allah ne hamein aisa hi hukm diya hai. Tum (un se) kaho ke: Allah be-hayaai ka hukm nahin diya karta. Kya tum woh baatein Allah ke naam lagaate ho jin ka tumhein zara ilm nahin? (Sura-e-Aaraaf 7: 27-28)

Share on: 

March - 11 (Quran)

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Aur Allah Ta'ala Salaamati ke ghar yaani Jannat ki taraf daawat dete hain aur jise chahte hain seedha raasta dikhaate hain. (Yunus 10: 25)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 09 (Quran)

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Aur jab Qur'an padha jaaye to use kaan lagakar suno aur chup raho taake tum par rahem kiya jaaye. (Qur'an Surah Al-A'raf: 204)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 12 (Quran)

Rasulullah ﷺ se khitaab hai (Tarjama): Aap keh dijiye ki kya Ilm waale aur beilm baraabar hosakte hain? (Surah-e-Zumar: 9)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 09 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aaj main ne tumhaare liye tumhaara Deen mukammal kar diya aur tum par apni nemat poori kar di aur tumhaare liye Islam ko Deen ke taur par (hamesha ke liye) pasand kar liya. (Sura-e-Ma'idah: 3)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp