May - 18

Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya ke jis shakhs ne Qur'aan padha, phir us ko zabaani yaad kiya aur us ke halaal ko halaal aur haraam ko haraam jaana to Haq Ta'ala Shaanuhu us ko Jannat mein daakhil farmaaeinge aur us ke gharaane mein se aise das aadmiyon ke baare mein us ki shafa'at qubool farmaaeinge jin ke liye Jahannam waajib ho chuki ho. (Tirmizi: 2905)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

May - 17

..
Hadees
Hazrat Abu Hurairah (Raziyallahu 'anhu) se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Imaan ye hai ki tum Allah Ta'ala ko uske farishton ko aur (aakhirat mein) Allah Ta'ala se milne ko aur uske Rasoolon ko haq jaano aur haq maano (aur mout ke baad dubaara) uthaye jaane ko haq jaano aur haq maano. (Bukhari: 50)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

May - 16

Hadees
Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab tum mein se koi so kar uthe, to bartan mein haath daalne se pehle haathon ko dhole. (Bukhari: 162)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

15 MAY (Hadees) - Aadmi Ka Jamaat Se Namaaz Padhna

Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Aadmi ka jamaat se namaaz padhna apne ghar aur baazar mein namaaz padhne se pachees (25) darje zyaada sawaab rakhta hai. (Bukhari: 647)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

May - 14

Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Apni safon ko seedha kiya karo, kyunki Namaaz ko achchhi tarah adaa karne mein safon ko seedha karna shaamil hai. (Bukhari: 723)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

13 MAY (Hadees) - Khade ho kar Namaaz padho, agar khade hone ki taaqat na ho to baithh kar padho

Aaj Ki Hadees
Rasullulah ﷺ ne farmaaya: Khade ho kar Namaaz padho, agar khade hone ki taaqat na ho to baithh kar padho aur agar baithh kar padhne ki bhi taaqat na ho to karwat par let kar padho. (Tirimizi: 372)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

12 MAY (Hadees) - Aapas Mein Hadiya Liya Diya Karo

Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Aapas mein hadiya liya diya Karo, kyun ke hadiya aur tohfa dilon se keene ko khatm kar deta hai. (Tirmizi: 2130)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

11 MAY (Aaj Ki Hadees) - Chehre Wuzu Mein Dhulne Ki Wajahse Raoshan Aur Chamakdaar Hongey

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Meri Ummat Qayamat ke din is haal mein bulaayee jaayegi ke unke haath paon aur chehre wuzu mein dhulne ki wajahse raoshan aur chamakdaar hongey. Lihaaza jo shakhs apni raoshni badhana chahe, to use chahiye ke wo ise badhaaye. (Bukhari: 136)
 
Faida: Matlab ye hai ke wuzu is ehtemaam se kiya jaye ke azaa-e-wazu mein koi jagah khushk na rahe.

Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

10 MAY (Hadees) - Allah Ta'ala Safon Ke Daayein Jaanib Khade Hone Waalon Par Rehmat Naazil farmaate Hain

Hadees
Hazrat A'ishah Raziyallahu 'anha riwaayat karti hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala safon ke daayein jaanib khade hone waalon par rehmat naazil farmaate hain aur farishte unke liye maghfirat ki dua karte hain. (Abu Dawud: 676)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

09 MAY (Hadees) - Saari Makhlooq Allah Ta'ala Ki Ayaal (Aur Ghar Ke Afraad Ki Haisiyat Rakhti) Hai

Hadees
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: Saari makhlooq Allah Ta'ala ki ayaal (aur ghar ke afraad ki haisiyat rakhti) hai aur Allah Ta'ala ko sab se ziyaada mehboob woh aadmi hai, jo us ki ayaal ke saath achchha bartaao aur ehsaan ka muaamla kare. (Sho'abul Iman: 8448)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

08 MAY (Hadees) - Tum Log Zameen Waalon Par Rahem Karo, Aasmaan Waala Rab Tum Par Rahem Karega

Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Tum log zameen waalon par rahem karo, aasmaan waala rab tum par rahem karega. (Abu Dawood: 4941)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

07 MAY (Hadees) - Allah Ta'ala Agli Safon Se Qareeb Saf Waalon Par Rehmat Naazil Farmaate Hain

Hadees
Hazrat Bara Bin 'Azib Raziyallahu 'anhuma riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala agli safon se qareeb saf waalon par rehmat naazil farmaate hain aur uske farishte unke liye dua karte hain. Allah Ta'ala ko us qadam se zyaada koi qadam mehboob nahin, jisko insaan saf ki khaali jagah ko pur karne ke liye uthhaata hai. (Abu Dawud: 543)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

May - 07 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala ne Rasool Allah (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) se irshaad farmaaya: Aap farmadijiye ke beshak meri namaz aur meri har ibaadat, mera jina aur marna, sab kuch Allah Ta'ala hi keliye hai jo saray jahaan ke paalne waale hain. (Surah Al-An'am: 162)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 06

Hadees
Hazrat Bara Bin 'Azib Raziyallahu 'anhuma se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ saf mein ek kinaare se dusre kinaare tak tashreef laate, humare sinon aur kaandhon par haath mubaarak phair kar safon ko seedha farmaate aur irshaad farmaate: (Safon mein) aage peeche na raho, agar aisa hua to tumhare dilon mein ek dusre se ikhtilaaf paida ho jayega aur farmaaya karte: Allah Ta'ala agli saf waalon par rehmatein naazil farmaate hain aur unke liye farishte maghfirat ki dua karte hain. (Abu Dawud: 664)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

May - 06 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aur ham ne insaanon ko us ke maan baap ke saath achchha sulook karne ka hukm diya hai. (Sura-e-Ankaboot: 8)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

05 MAY (Hadees) - Ek Musalmaan Ke Doosre Musalmaan Par 6 Huqooq Hain

Hadees
Rasoolallah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ne farmaaya: Ek Musalmaan ke doosre Musalmaan par 6 huqooq hain:
 
1) Jab mulaaqat ho to us ko Salaam Kare.
2) Jab daawat de to us ki daawat ko qubool kare.
3) Jab use chheenk aaye (aur Alhamdulillah kahe) to us ke jawaab mein Yarhamukallaah Kahe.
4) Jab beemar ho to us ki ayaadat kare.
5) Jab intiqaal ho jaaye to us ke janaaze ke saath jaaye.
6) Aur us ke liye wahi pasand kare jo apne liye pasand karta ho.

(Ibn-e-maajah: 1433)

Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

May - 05 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aur tumhaare Rab ne yeh hukm diya hai ke us ke siwa kisi ki Ibaadat na karo, aur maan baap ke saath achchha sulook karo, Agar maan baap mein se koi ek ya donon tumhaare saamne budhaape ko pahonch jaaein, to unhein "Uf" tak na kaho aur na unhein jhidko, balke un se izzat ke saath baat kiya karo, aur un ke saath muhabbat ka bartaao karte huwe un ke saamne apne aap ko inkesaari se jhukaao, aur yeh dua karo "Aye Rab! Jis tarah inhon ne meri bachpan mein parwarish ki hai, aap bhi in ke saath rehmat ka muaamla kijiye." (Sura-e-Bani Israail: 23,24)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 04

Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: koi shakhs us waqt tak momin nahin ho sakta, jab tak ke woh apne musalmaan bhaai ke liye wahi pasand na kare jo apne liye pasand karta hai. (Bukhari: 13)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

May - 04 (Quran)

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Aur tum logon se achchhi baat kaho. (Surah-e-Baqarah: 83)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 03

Hadees
Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Insaanon ke quloob par isi tarah zang lag jaata hai jis tarah paani lagne ki wajah se lohe par zang aajaata hai. Arz kiya gaya: Ya Rasullulah! Dilon ke zang ki safaai ki kya soorat ho sakti hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Maut ko kasrat se yaad karna aur Qur'an-e-Kareem ki tilaawat karna. (Sho'ab-ul-Imaan: 2014)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

May - 03 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Tumhaare maal aur aulaad tumhein Allah ki yaad sey ghaafil na kar dein. (Quran Surah-e-Munafeqoon: 9)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

02 MAY (Aaj Ki Hadees) - Sirf 2 Aadmi Qaabil-e-Rashk Hain

Aaj Ki Hadees
Rasullulah ﷺ ne farmaaya: Sirf 2 aadmi qaabil-e-rashk hain "Ek woh jis ko Allah ne Qur'an ki nemat ata farmaai phir woh din raat us mein laga rehta hai. Aur doosra woh khush naseeb aadmi jis ko Allah ne maal-o-daulat se nawaaza aur woh din raat us ko raahe khuda mein kharch karta rehta hai." (Bukhari: 7529)
Share on: WhatsApp

May - 02 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur hum ye misaalein logon ke liye bayan karte hai, (lekin) inhe ilm waale hi samajhte hai. (Al-Ankabut: 43)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

May - 01

Hadees
Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Allah Ta'ala ne paanch namaazein farz ki hain, jo shakhs achchhi tarah wuzu kare aur waqt par namaaz padhe, ruku bhi achchhi tarah kare aur khushu se padhe to Allah ke zimme hai ke woh us ki magfirat kare aur jo aisa na kare us ki Allah par koi zimmedaari nahin, chaahe magfirat kare chaahe azaab de. (Abu Dawood: 425)
Share Youtube Link on: WhatsApp

May - 01 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai: Jo mard chori kare aur jo aurat chori kare; to un donon ke haath kaat daalo taake un ko apne kiye ka badla mile; aur Allah ki taraf se ibratnaak saza ho. (Sura-e-Maaidah: 38)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp