16 FEB (Aaj Ki Hadees) - Jo Musalmaan Kisi Musalmaan Ki Subah Ko Iyaadat Karta Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Jo musalmaan kisi musalmaan ki subah ko iyaadat karta hai to shaam tak sattar (70) hazaar farishte uske liye dua karte rehte hain aur jo shaam ko iyaadat karta hai to subah tak sattar hazar farishte uske liye dua karte rehte hain aur use jannat mein ek baagh miljaata hai. (Tirmizi: 969)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 16 (Quran)

Zameen mein fasaad machaane ki koshish naa karo, yaqeen jaano Allah fasaad machaane waalon ko pasand nahin karta. (Surah-e-Qasas 28: 77)


Share on: 

15 FEB (Aaj Ki Hadees) - Jab Tum Bimaar Ke Paas Jao To Usse Kaho Ke Wo Tumhare Liye Dua Kare

Aaj Ki Hadees
Hazrat Umar Bin Khattab Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne mujhse irshaad farmaaya: Jab tum bimaar ke paas jao to usse kaho ke wo tumhare liye dua kare, kyunki uski dua farishton ki dua ki tarah (qubool hoti) hai. (Ibne Maajah: 1441)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 15 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur beshak sirkashon keliye bahut hi bura thikana hai yani dozakh jis mein woh girenge. Woh kaisi buri jagah hai. Ye khaulta hua paani aur peep (maujood) hai, ye log usko chakhein aur iske alawa aur bhi is qism ki mukhtalif nagawar cheezein hain. (usko bhi chakhein) (Saad 38: 55-58)
Share on: 

February - 14 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur apne Rabb ki bakhshish ki taraf dau'do aur neez us Jannat ki taraf jis ki chaurdaayi aisi hai jaise aasmanon ka aur zameenon ka phailao jo Allah Ta'ala se darne waalon keliye tayyar ki gayi hai yani (un aala darje ke musalmanon keliye hain) jo khushhaali aur tangdasti donon haalton mein naik kaamon mein kharch karte rehte hain aur ghusse ko zabt karne waale hain aur logon ko mu'af karne waale hain aur Allah Ta'ala aise naik logon ko pasand karte hain. (Aal-'Imran 3: 133-134)

Share on: 

14 FEB (Aaj Ki Hadees) - Jo Shakhs Apni Jagah Se (Kisi Zaroorat Se) Utha Aur Phir Waapas Aagaya

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs apni jagah se (kisi zaroorat se) utha aur phir waapas aagaya to us jagah (baithne) ka wohi shakhs zyaada haqdaar hai. (Muslim: 5689)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

13 FEB (Aaj Ki Hadees) - Kisi Shakhs Ko Is Baat Ki Ijaazat Nahin

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Kisi shakhs ko is baat ki ijaazat nahin ke kisi dusre ko uski jagah se utha kar khud us jagah baith jaye. (Bukhari: 6269)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 13 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur Imaan waalon ko chaahiye ke (Jis se un ke haq mein koi ziyaadati aur qusoor ho gaya ho, us ko) woh maaf kar diya karein aur nazar andaaz kar dein. Kya tum yeh nahin chaahte ke Allah tumhein maaf kar de aur Allah bakshne waala aur bahot maherbaan hai. (Sura-e-Noor 24: 22)
Share on: 

12 FEB (Aaj Ki Hadees) - Do Aadmiyon Ke Darmiyaan Mein Unki Ijaazat Ke Bagair Na Baitha Jaye

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Do aadmiyon ke darmiyaan mein unki ijaazat ke bagair na baitha jaye. (Abu Dawud: 4844)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp