20 FEB (Aaj Ki Hadees) - Chhota Bade Ko Salaam Kare, Guzarne Waala Baithe Hue Ko Salaam Kare

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Chhota bade ko Salaam kare, guzarne waala baithe hue ko Salaam kare aur thode aadmi zyaada aadmiyon ko Salaam Karein. (Bukari: 6231)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 20 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Jo log Imaan laye aur Naik amal karte rahe khususan Namaz ki pabandi ki aur zakaat adaa ki to unke Rabb ke paas unka sawaab mehfooz hai aur na unko kisi qism ka khauf hoga aur na woh ghamgeen honge. (Al-Baqarah 2: 277)


Share on: 

February - 19 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Logo! Allah Ta'ala ke in ehsanat ko yaad karo jo Allah Ta'ala ne tum par kiye hain. Zara soncho to sahi, Allah Ta'ala ke elawa bhi koi khaliq hai jo tum ko aasmaan wa zameen se rozi pahunchata ho, uske siwa koi haqeeqi ma'abood nahi. Phir Allah Ta'ala ko chood kar tum kahan chale jarahe ho. (Surah-e-Fatir 35: 3)


Share on: 

19 FEB (Aaj Ki Hadees) - Jab Tum Apne Ghar Mein Daakhil Ho To Ghar Waalon Ko Salaam Karo

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmaate hain ke muje Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Bete ! Jab tum apne ghar mein daakhil ho to ghar waalon ko Salaam karo ye tumhare liye aur tumhare ghar waalon keliye barkat ka sabab hoga. (Tirmizi: 2698)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 18 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Humare paas har cheez ke khazane bhare padhe hai magar phir hum hikmat se har cheez ko ek moi'n miqdar se utarte rahte hain. (Surah-e-Hijr 15: 21)
Share on: 

18 FEB (Aaj Ki Hadees) - Logon Mein Allah Ta'ala Ke Qurb Ka Zyaada Mustahiq Wo Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Umamah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Logon mein Allah Ta'ala ke Qurb ka zyaada mustahiq wo hai, jo Salaam karne mein pahel kare. (Abu Dawud: 5197)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

17 FEB (Aaj Ki Hadees) - Salaam Ko Aapas Mein Khoob Phailao

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum jannat mein nahin jaa sakte, jab tak momin na ho jao (yani tumhari zindagi imaan waali zindagi na ho jaye) aur tum us waqt tak momin nahi ho sakte, jab tak aapas mein ek dusre se mohabbat na karo. Kya main tumhe wo amal na batadun jiske karne se tumhare darmiyaan mohabbat paida hojaye? (wo ye hai ke) Salaam ko aapas mein khoob phailao. (Muslim: 194)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 17 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aye Imaan waalo: Allah se sachchi pakki touba karo, ummeed hai ke tumhaara Rab tumhaare gunah ko mita dega aur aisi Jannat mein daakhil karega jis ke neeche nehrein behti hongi. (Sura-e-Tehreem 66: 8)

Share on: 

16 FEB (Aaj Ki Hadees) - Jo Musalmaan Kisi Musalmaan Ki Subah Ko Iyaadat Karta Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Jo musalmaan kisi musalmaan ki subah ko iyaadat karta hai to shaam tak sattar (70) hazaar farishte uske liye dua karte rehte hain aur jo shaam ko iyaadat karta hai to subah tak sattar hazar farishte uske liye dua karte rehte hain aur use jannat mein ek baagh miljaata hai. (Tirmizi: 969)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp