27 FEB (Aaj Ki Hadees) - Qayamat Ke Din Mere Sabse Qareeb Wo Log Hongey Jinke Akhlaaq Zyaada Achchhe Hongey

Aaj Ki Hadees
Hazrat Jabir Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum sab mein se Mujhe zyaada mehboob aur Qayamat ke din Mere sabse qareeb wo log hongey jinke akhlaaq zyaada achchhe hongey. (Tirmizi: 2021)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

26 FEB (Aaj Ki Hadees) - Kaamil Tareen Imaan Waalon Mein Se Wo Shakhs Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha riwaayat karti hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Kaamil tareen Imaan waalon mein se wo shakhs hai jiske akhlaaq sabse achchhe hon aur jiska bartao apne ghar waalon ke saath sabse zyaada narm ho. (Tirmizi: 2612)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

25 FEB (Aaj Ki Hadees) - Ek Darakht Musalmaanon Ko Takleef Deta Tha

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Ek darakht Musalmaanon ko takleef deta tha, ek shakhs ne aakar use kaat diya, to wo (is amal ki wajah se) jannat mein daakhil ho gaya. (Muslim: 6672)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

24 FEB (Aaj Ki Hadees) - Jis Bande Ki Main Do Mehboob Tareen Cheezein Yani Aankhein Le Loon

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu Rasulullah ﷺ se Hadees-e-Qudsi mein Apne Rabb ka ye irshaad-e-Mubarak naql farmaate hain: Jis bande ki main do mehboob tareen cheezein yani aankhein le loon aur wo us par sabr kare aur ajar wa sawaab ki ummeed rakhe to Main uske liye jannat se kam badle par raazi nahi hunga. (Tirmizi: 2401)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

23 FEB (Aaj Ki Hadees) - Jab Kisi Musalmaan Ko Kaanta Chubta Hai Ya Isse Bhi Kam Koi Takleef Pahunchti Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmaati hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Jab kisi Musalmaan ko kaanta chubta hai ya isse bhi kum koi takleef pahunchti hai to uske badle Allah Ta'ala ki taraf se uske liye ek darja likh diya jaata hai aur uska ek gunah mu'af kar diya jaata hai. (Muslim: 6561)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

22 FEB (Aaj Ki Hadees) - Musalmaan Jab Bhi Kisi Thakawat, Beemari, Fikr, Ranj Wa Malaal, Takleef..

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Sa'id Khudri aur Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Musalmaan jab bhi kisi thakawat, beemari, fikr, ranj wa malaal, takleef aur gham se do chaar hota hai, yahan tak ke use koi kaanta bhi chubta hai to Allah Ta'ala iski wajah se uske gunahon ko mu'af farmaadete hain. (Bukhari: 5641)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 22 (Quran)

Allah Ta'al ka irshaad hai (Tarjama): Aur kisi qaum ki dushmani tum ko is baat par aamaada na kare ke tum us ke saath insaaf na karo, tum insaaf se kaam lo, yahi tareeqa taqwa se ziyaada qareeb hai. (Sura-e-Maidah 5: 8)
Share this on: 

21 FEB (Aaj Ki Hadees) - Ek Musalmaan Ke Dusre Musalmaan Par Paanch Haq Hain

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Maine Rasullulah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Ek Musalmaan ke dusre musalmaan par paanch haq hain: Salaam ka jawaab dena, beemar ki iyaadat karna, janaaze ke saath jaana, daawat qubool karna aur cheenk ne waale ke jawaab mein "Yarhamukallah" kehna. (Bukhari: 1240)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 21 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Beshak Namaz behayayi aur bure kaamon se rokti hai. (Al-'Ankabut 29: 45)
Share on: