05 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Imaan Ki Halaawat Usi Ko Naseeb Hogi Jis Mein Teen Baatein Payi Jaayeingi

Hadees
Hazrat Anas raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Imaan ki halaawat usi ko naseeb hogi jis mein teen baatein payi jaayeingi. Ek ye ke Allah Ta'ala aur uske Rasool ki Mohabbat us ke dil mein sabse zyaada ho. Doosra ye ki jis shakhs se bhi mohabbat ho sirf Allah Ta'ala hi keliye ho. Teesra ye ke Imaan ke baad kufr ki taraf palatne se usko itni nafrat aur aisi azziat  ho jaisi ki aag mein daale jaane se hoti hai. (Bukhari: 16)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 05 (Quran)

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Haqeeqat yeh hai ke ham ne aadam ki aulaad (insaan) ko izzat bakhshi hai, aur unhein khushki aur samander donon mein sawaariyaan muhayya ki hain aur un ko paakeezah cheez ka rizq diya hai aur un ko apni bahot si makhlooqaat par fazeelat ata ki hai. (Sura-e-Bani Israail: 70)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

04 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Jis Shakhs Ne Apne (Musalman) Bhai Ko Kisi Aise Gunah Par Aar Dilayi

Hadees
Hazrat Mu'az Bin Jabal Raziyallahu 'anhu riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne irshaad farmaya: Jis shakhs ne apne (Musalman) bhai ko kisi aise gunah par aar dilayi jisse wo tauba kar chuka ho to wo us waqt tak nahi marega jab tak khud us gunah mein mubtela na hojaye. (Tirmizi: 2505)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

03 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Jo Musalman Kisi Musalman Ko Kapda Pehnata Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ibn 'Abbas Raziyallahu 'anhuma farmate hain ke maine Rasool Allah ﷺ ko ye irshaad farmate hue suna: Jo musalman kisi musalman ko kapda pehnata hai to jab tak pehenne wale ke badan par is kapde ka ek bhi tukda rehta hai pehnane waala Allah Ta'ala ki hifazat mein rehta hai. (Tirimizi: 2484)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 03 (Quran)

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Jo log sona chaandi jama karte hain aur Allah ki raah mein kharch nahin karte, unhein ek dardnaak azaab ki khushkhabri suna do ke un ka jama kiya huwa sona chaandi us din Dozakh ki aag mein tapaaya jaayega, phir un badbakhton ki peshaaniyan, karwatein aur peethhein daagi jaayegi. Aur un se kaha jaayega, yeh wahi sona chaandi hai jo tum ne jama kiya tha, ab apne jama kiye huwe ka maza chakho. (Sura-e-Tauba 9: 34, 35)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

02 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Tum Apne Bhai Ki Kisi Musibat Par Khushi Ka Izhaar Na Kiya Karo

Hadees
Hazrat Waasila Bin Aqsa Raziyallahu 'Anhu riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne Irshaad farmaya: Tum apne bhai ki kisi musibat par khushi ka izhaar na kiya karo hosakta hai ke Allah Ta'ala us par rahem farmakar usko is museebat se nijaat de dein aur tum ko museebat mein mubtela kardein. (Tirimizi: 2506)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 02 (Quran)

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Farishte Allah ke kisi hukm mein us ki naafarmaani nahin karte aur wahi karte hain jis ka unhein hukm diya jaata hai. (Sura-e-Tahreem 66: 6)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

01 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Jis Aurat Ka Is Haal Mein Inteqaal Ho Ki Uska Shohar Usse Raazi Ho

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Umme Salma Raziyallahu 'anha riwaayat karti hain ki Allah ke Rasool ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis Aurat ka is haal mein inteqaal ho ki uska shohar usse raazi ho to wo jannat mein jayegi. (Tirmizi: 1161)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 01 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Beshak (motabar) Deen to Allah ke nazdeek Islam hi hai. (Sura-e-Aale imraan: 19)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp