10 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Aap ﷺ Ke Mubarak Seene Se Rone Ki Awaaz

Hadees
Hazrat Abdullah Raziyallahu 'anhu farmate hain ke maine Rasool Allah ﷺ ko Namaz padhte dekha Aap ﷺ ke Mubarak Seene se rone ki awaaz (saans rukne ki wajah se) aisi musalsal aarahi thi jaise chakki ki awaaz hoti hai. (Abu Dawud: 904)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 10 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aap Momineen mardon se keh dijiye ke woh apni nigaahein neechi rakhein. (Sura-e-Noor: 30)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

March - 09 (Quran)

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Aur jab Qur'an padha jaaye to use kaan lagakar suno aur chup raho taake tum par rahem kiya jaaye. (Qur'an Surah Al-A'raf: 204)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

09 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Apne Bhai Se Jhagda Na Karo

Hadees
Hazrat Ibn Abbas Raziyallahu 'anhuma se riwayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Apne bhai se jhagda na karo aur na usse aisa mazaaq karo (jisse usko takleef pahunche) aur na aisa waada karo jisko poora na karsako. (Tirmizi: 1995)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 08 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Jo log apna maal Allah ki raah mein kharch karte hain raat ko aur din ko chhupakar aur zaahir mein, inhi keliye apne Rabb ke haan sawab hai aur in par na koi darr hai aur na wo ghamgeen honge. (Surah Al Baqarah 2: 274)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

08 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala Ka Haath Jamaat Par Hota Hai

Hadees
Hazrat 'Arfajah Bin Shareeh Ashja'i Raziyallahu 'anhu riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ka haath jamaat par hota hai (yani Allah Ta'ala ki khaas madad jamaat ke saath hoti hai) lehazaa jo shakhs jamaat se alheda ho jaata hai shaitaan us ke saath hota hai aur use uksata rahta hai. (Nasa'i: 4025)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

07 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Woh Shakhs Hamari Itteba'a Karne Waalon Mein Se Nahi Hai

Hadees
Hazrat Ibn Abbas Raziyallahu 'anhuma farmaate hain ke Rasool Allah ﷺ ne irshaad farmaaya: Woh shakhs humari itteba'a karne waalon mein se nahi hai jo humare chhoton par shafaqat na kare, humare badon ka ehteram na kare, naiki ka hukm na kare aur burai se mana na kare. (Tirmizi: 1921)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 07 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Beshak Namaaz Imaan Waalon par Waqt ki Paabandi ke Saath Farz hai. (Sura-e-Nisa: 103)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

06 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Maal Ki Hiris Aur Bada Banne Ki Chaahat

Hadees
Hazrat Malik Raziyallahu 'anhu se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne irshaad farmaaya: Woh do bhooke bhediye jinhe bakriyon ke reward mein chord diya jaye bakriyon ko utna nuqsaan nahi pahunchate jitna aadmi ke deen ko, maal ki hiris aur bada banne ki chahat nuqsan pahunchati hai. (Tirmizi: 2376)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp