14 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Jo Shakhs Hamaare Badon Ki Izzat Na Kare Aur Chhoton Par Shafqat Na Kare

Hadees
Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Jo shakhs hamaare badon ki Izzat na kare aur Chhoton par shafqat na kare woh ham mein se nahin. (Tirmizi: 1919)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 14 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aap keh dijiye kya jaanne waale aur na jaanne waale baraabar ho sakte hain. (Sura-e-Zumar 39: 9)

Share on: 

March - 13 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Allah jis ke liye chaahta hai rizq mein wus'at kar deta hai aur (jis ke liye chaahta hai) tangi kar deta hai. (Sura-e-Ra'ad 13: 26)

Share on: 

13 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Sahaba Raziyallahu Anhum Aap ﷺ Ko Dekh Kar Khade Nahi Hote The

Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Sahaba ke nazdeek koi shakhs bhi Rasool Allah ﷺ se zyaada mehboob nahi tha. Iske bawajood wo Rasool Allah ﷺ ko dekh kar khade nahi hote the kyunke wo jaante the Aap ﷺ isko na pasand farmaate hain. (Tirmizi: 2754)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 12 (Quran)

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Musalmaan aapas mein bhai bhai hain. (Al-Hujurat: 10 )

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

12 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Jis Shakhs Ne Bhalayi Ki Taraf Rehnumayi Ki

Hadees
Hazrat Abu Mas'ud Badri Raziyallahu 'anhu se riwayat hain ke Rasool Allah  ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne bhalayi ki taraf rehnumayi ki use bhalayi karne waale ke barabar sawab milta hai. (Abu Dawud: 5129)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Zikr

Dhikr Counter
Lvl 1: Beginner
🔥 0 Days
🔊
Astaghfirullah (I seek forgiveness from Allah)
Loading virtue...
Session: 00:00
00
0%
Daily Goal: 0 / 100
Round: 0
Today: 0 / 100
Total: 0
Loading recent submissions...
📅 Latest Submissions
Loading recent submissions...
  
🏆 Top Ten Leaderboard
Loading rankings...
All Dhikr Summary
Grand Total: 0

11 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Us Shakhs Keliye Barbadi Hai Jo Logon Ko Hasane Keliye Jhoot Bole

Hadees
Hazrat Mu'awiyah bin Hidah Raziyallahu 'anhu farmate hain ke maine Rasool Allah ﷺ ko ye irshaad farmate hue suna; us shakhs keliye barbadi hai jo logon ko hasane keliye jhoot bole. Us keliye tabahi hai, us keliye tabahi hai. (Tirmizi: 2315)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 11 (Quran)

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Aur Allah Ta'ala Salaamati ke ghar yaani Jannat ki taraf daawat dete hain aur jise chahte hain seedha raasta dikhaate hain. (Yunus 10: 25)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp