19 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Tum Aurton Se (Sirf) Un Ke Husn-O-Jamaal Ki Wajah Se Shaadi Na Karo

Hadees
Rasoolullaah ﷺ ne farmaaya: Tum aurton se (Sirf) un ke husn-o-jamaal ki wajah se shaadi na karo. Kyun ke husn-o-jamaal khatm hone waala hai aur na un ki maaldaari ki wajah se shaadi karo, mumkin hai ye maaldaari un ko nafarmaani mein mubtala karde. Albatta un se deendaari ki buniyaad par shaadi karo. (Ibne Maaja: 1859)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 19 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjam): Allah Ta'ala ke achchhe achchhe naam hain tum in naamon se use pukaaro. (Sura-e-A'raf: 180)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

18 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Sood Khor Log

Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya ke jis raat mujhe Meraaj hui mera guzar ek aise groh par huwa jin ke pet gharon ki tarah hain aur un mein saanp bhare huwe hain jo baahar se nazar aate hain, mein ne Jibraeel se poochha ke yeh kaun log hain? (jo aise azaab mein mubtila hain) unhon ne batlaaya ke yeh sood khor log hain. (Ibne Maaja: 2273)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 18 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Beshak Hum apne Rasoolon aur Imaan waalon ki duniya ki zindagi mein bhi madad karte hain aur Qayaamat ke din bhi madad karenge jis din aamal likhne waale farishte gawahi dene khade honge. (Al-Mu'min 40: 51)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

17 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Agar Ilm Ka Ek Mazmoon Seekh Lo, Khwaah Us Waqt Us Par Amal Ho Ya Na Ho

Hadees
Hazrat Abu Zar (Raziyallahu 'Anhu) kehte hain ke Rasoolullah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ne mujh se farmaaya: Abu Zar! Agar ilm ka ek mazmoon seekh lo, khwaah us waqt us par amal ho ya na ho (jaise paani ke hote huwe tayammum ke masaail seekhna) to hazaar rakat nawaafil padhne se afzal hai. (Ibne Maaja: 219)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 17 (Quran)

Gareebi ki wajah se apne bachchon ko qatl na karo, ham tumhein bhi rizq denge aur un ko bhi. (Sura-e-Anaam: 15)

Share on: WhatsApp

16 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Jab Jannat Ke Baaghon Par Guzro To Khoob Charo

Hadees
Hazrat Anas bin Malik (Raziyallahu Anhu) se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab Jannat ke baaghon par guzro to khoob charo. Sahaba (Raziyallahu Anhum) ne arz kiya: Ya Rasulullah! Jannat ke baagh kya hain? Irshaad farmaaya: Zikr ke halqe. (Tirmizi: 3510)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

15 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Qayaamat Ke Din Aadmi Ke Dono Qadam Us Waqt Tak Nahi Hat Sakte

Hadees
Hazrat Abu Barza Aslami Raziyallahu 'anhu farmaate hain ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Qayaamat ke din Aadmi ke dono qadam us waqt tak (hisab ki jagah se) nahi hat sakte jab tak us se in cheezon ke baare mein pooch na liya jaye: Apni umar kis kaam mein kharch ki? Apne ilm par kya amal kiya? Maal kahan se kamaya aur kahan kharch kiya? Apni jismani quwwat kis kaam mein lagai? (Tirmizi: 2417)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

14 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Jo Shakhs Hamaare Badon Ki Izzat Na Kare Aur Chhoton Par Shafqat Na Kare

Hadees
Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Jo shakhs hamaare badon ki Izzat na kare aur Chhoton par shafqat na kare woh ham mein se nahin. (Tirmizi: 1919)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp