20 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Qur'an Padhta Ja Aur Jannat Ke Darjon Par Chadhta Ja

Hadees
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: (Qayaamat ke din) Saahib-e-Qur'an (Hafiz) se kaha jaayega: Qur'an padhta ja aur Jannat ke darjon par chadhta ja, aur thhaher thhaher kar padh jaisa ke tu duniya mein thhaher thhaher kar padhta tha. Bas tera maqaam wahi hoga jahaan teri aakhri aayat ki tilaawat khatam hogi. (Abu Daawood: 1464)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 20 (Quran)

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Aur Iman waalon ko to Allah Ta'ala hi se Zyaada Muhabbat hoti hai. (Al-Baqarah 2: 165)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

19 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Tum Aurton Se (Sirf) Un Ke Husn-O-Jamaal Ki Wajah Se Shaadi Na Karo

Hadees
Rasoolullaah ﷺ ne farmaaya: Tum aurton se (Sirf) un ke husn-o-jamaal ki wajah se shaadi na karo. Kyun ke husn-o-jamaal khatm hone waala hai aur na un ki maaldaari ki wajah se shaadi karo, mumkin hai ye maaldaari un ko nafarmaani mein mubtala karde. Albatta un se deendaari ki buniyaad par shaadi karo. (Ibne Maaja: 1859)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 19 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjam): Allah Ta'ala ke achchhe achchhe naam hain tum in naamon se use pukaaro. (Sura-e-A'raf: 180)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

18 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Sood Khor Log

Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya ke jis raat mujhe Meraaj hui mera guzar ek aise groh par huwa jin ke pet gharon ki tarah hain aur un mein saanp bhare huwe hain jo baahar se nazar aate hain, mein ne Jibraeel se poochha ke yeh kaun log hain? (jo aise azaab mein mubtila hain) unhon ne batlaaya ke yeh sood khor log hain. (Ibne Maaja: 2273)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 18 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Beshak Hum apne Rasoolon aur Imaan waalon ki duniya ki zindagi mein bhi madad karte hain aur Qayaamat ke din bhi madad karenge jis din aamal likhne waale farishte gawahi dene khade honge. (Al-Mu'min 40: 51)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

17 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Agar Ilm Ka Ek Mazmoon Seekh Lo, Khwaah Us Waqt Us Par Amal Ho Ya Na Ho

Hadees
Hazrat Abu Zar (Raziyallahu 'Anhu) kehte hain ke Rasoolullah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ne mujh se farmaaya: Abu Zar! Agar ilm ka ek mazmoon seekh lo, khwaah us waqt us par amal ho ya na ho (jaise paani ke hote huwe tayammum ke masaail seekhna) to hazaar rakat nawaafil padhne se afzal hai. (Ibne Maaja: 219)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 17 (Quran)

Gareebi ki wajah se apne bachchon ko qatl na karo, ham tumhein bhi rizq denge aur un ko bhi. (Sura-e-Anaam: 15)

Share on: WhatsApp

16 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Jab Jannat Ke Baaghon Par Guzro To Khoob Charo

Hadees
Hazrat Anas bin Malik (Raziyallahu Anhu) se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab Jannat ke baaghon par guzro to khoob charo. Sahaba (Raziyallahu Anhum) ne arz kiya: Ya Rasulullah! Jannat ke baagh kya hain? Irshaad farmaaya: Zikr ke halqe. (Tirmizi: 3510)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp