March - 24 (Quran)

Allah Ta'ala ne apne Rasool Sallahu 'alaihi wassallam se irshaad farmaaya (Tarjama): Aur aap us zabardast rahem karne waale par bharosa rakhiye jo aapko us waqt bhi dekhta hai jab aap tahajjud ki Namaaz keliye khade hote hain aur us waqt bhi aapke uthne baitne ko dekhta hai jab aap Namaazon mein hote hain. Beshak wohi khoob sunne waala, jaanne waala hai. (Ash-Shu'ara: 217-220)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

24 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Momin Taana Dene Waala, Laanat Karne Waala, Gandi Baatein Karne Waala...

Hadees
Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin taana dene waala, laanat karne waala, gandi baatein karne waala aur behaya nahin hota. (Tirimizi: 1977)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

23 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Tum Apni Masjidon Se Chhote Bachchon Aur Paagalon Ko Door Rakho

Hadees
Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum apni masjidon se chhote bachchon aur paagalon ko door rakho (un ko masjid mein na aane do) aur khareed-o-farokht, ladaai jhagde aur shor hangaame (masjid mein) na kiya karo. (Ibne Maajah: 750)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 23 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Us (Allah) ne tum par mara hua Jaanwar aur Khoon aur Suwar ka ghosht aur jis cheez par Allah ke siwa kisi aur ka naam pukara jaye, haram kar diya hai. Lekin Jo majboor ho jaye (aur woh) na sarkashi (nafarmani) karne wala ho aur na hadd se badne wala ho us par koyee gunaah nahi, beshak Allah subhanahu bakshne wala aur raham, karne wala hai. (Surah Baqara 2: 173)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

22 MARCH (Aaj Ki Hadees)- Jo Shakhs Azaan Ki Aawaaz Sune Aur Bila Uzr Namaaz Ke Liye Masjid Na Jaaye

Hadees
Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs azaan ki aawaaz sune aur bila uzr Namaaz ke liye masjid na jaaye uski Namaaz qubool nahin hoti. (Ibn-e-Maaja: 793)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 22 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aye Aadam ke beto aur betiyo! Shaitaan ko aisa mauqa hargiz na dena ke woh tumhein is tarah fitne mein daal de jaise us ne tumhaare maan baap ko Jannat se nikaala, jab ke un ka libaas un ke jism se utarwa liya tha, taake un ke ek doosre ki sharm ki jagah dikha de. Woh aur us ka jattha tumhein wahaan se dekhta hai jahaan se tum unhein nahin dekh sakte. Un shaitaanon ko ham ne unhi ka dost bana diya hai jo imaan nahin laate aur jab yeh (kaafir) log koi be-hayaai ka kaam karte hain to kehte hain ke ham ne apne baap daadaaon ko isi tareeqe par paaya hai, aur Allah ne hamein aisa hi hukm diya hai. Tum (un se) kaho ke: Allah be-hayaai ka hukm nahin diya karta. Kya tum woh baatein Allah ke naam lagaate ho jin ka tumhein zara ilm nahin? (Sura-e-Aaraaf 7: 27-28)

Share on: 

21 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Sood Khori Ke 70 Hisse Hain

Hadees
Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Sood khori ke 70 hisse hain, un mein se adna aur maamooli aisa hai jaise ke apni maan ke saath munh kaala kare. (Ibne Maaja: 2274)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

March - 21 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Agar Tum Bade Bade Gunah se jin se tum ko mana kiya jata hai bacho ge, Toh Hum Tumare (Chote) Gunah maaf kardenge. (Al Nisa 4: 31)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

20 MARCH (Aaj Ki Hadees) - Qur'an Padhta Ja Aur Jannat Ke Darjon Par Chadhta Ja

Hadees
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: (Qayaamat ke din) Saahib-e-Qur'an (Hafiz) se kaha jaayega: Qur'an padhta ja aur Jannat ke darjon par chadhta ja, aur thhaher thhaher kar padh jaisa ke tu duniya mein thhaher thhaher kar padhta tha. Bas tera maqaam wahi hoga jahaan teri aakhri aayat ki tilaawat khatam hogi. (Abu Daawood: 1464)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp