April - 20 (Quran)

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Jo log Allah Ta'ala ke hukm ki mukhalifat karte hain unhe is baat se darna chahiye ke un par koi aafat aajaye ya un par koi dardnaak azaab nazil ho. (An-Noor 24: 63 )
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

20 APRIL (Hadees) - Jis Shakhs Ne Thodi Si Zameen Bhi Nahaq Leli

Hadees
Hazarat Abdullah Bin Umar (Raziyallahu Anhu) riwayat karte hain ke Nabi kareem (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaya: Jis shakhs ne thodi si zameen bhi nahaq leli qayamat ke din wo iski wajha se saat zameenon tak dhansa diya jayega. (Bukhari: 2454)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 19 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aur jo log Imaan laaye hain aur unhon ne nek amal kiye hain, ham un ko aise baagaat mein daakhil kareingey jin ke neeche nehrein behti hongi, yeh un mein hamesha hamesha raheinge ye Allah ka sachcha wa'ada hai aur Allah se ziyaada baat ka sachcha kaun ho sakta hai. (Sura-e-Nisa: 122)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

19 APRIL (Hadees) - Momin Ka Qatl Kiya Jaana Allah Ta'ala Ke Nazdeek Saari Duniya Ke Khatm Hojaane Se Zyaada Badi Baat Hai

Hadees
Hazrat Buraid Raziyallahu 'anhuma riwaayat karte hain ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin ka qatl kiya jaana Allah Ta'ala ke nazdeek saari duniya ke khatm hojaane se zyaada badi baat hai. (Nisai: 3995)
 
Faaida: Matlab ye hai ke jaise duniya ka khatm ho jaana logon ke nazdeek bahut badi baat hai Allah Ta'ala ke nazdeek momin ka qatl karna usse bhi zyaada badi baat hai.


Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 18 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Imaan waalo! Allah Ta'ala ko bahut yaad kiya karo aur subah wa shaam uski tasbih bayaan kiya karo. (Al-Ahzaab: 41-42)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

18 APRIL (Hadees) - Qatl Karne Mein Shareek

Hadees
Hazrat Abu Sa'id Al-Khudri aur Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhuma Rasullullah ﷺ ka irshaad naql farmaate hain ke agar aasmaan-o-zameen waale sab ke sab kisi momin ke qatl karne mein shareek hojayein to bhi Allah Ta'ala in sab ko aundhe mooh jahannam mein daal deinge. (Tirmizi: 1398)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 17 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur sach mein jhoot ko na milao aur jaan-bujh kar haqq ko (yani shara'ee ehkaam ko) na chupao jab ke tum jaante ho. (Al-Baqarah 2: 42)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

17 APRIL (Hadees) - Apne Murdon Ki Khoobiyan Bayaan Kiya Karo Aur Unki Buraiyan Na Bayan Karo

Hadees
Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu 'anhuma riwaayat karte hain ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Apne (musalmaan) murdon ki khoobiyan bayaan kiya karo aur unki buraiyan na bayan karo. (Abu Dawud: 4900)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 16 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur Allah Ta'ala ki ye shaan hi nahi hai ke log istighfaar karne waale hon aur phir unko azaab dein. (Al-Anfaal: 33)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp