June - 06
Tarjama: Allah Ta'ala chor par laanat farmaata hai. (Bukhari: 6799) Chori karn bahot bada gunaah hai. Chori karne waale se Allah Ta'al bahot naaraaz hote hain. Chori karne waala har ek ke nazdeek naapasand aur zaleel hota hai. |
04 JUNE Hadees - Jis Ne Logon Ka Shukriya Ada Nahin Kiya Us Ne Allah Ka Shukriya Ada Nahin Kiya
Tarjama: Jis ne logon ka shukriya ada nahin kiya us ne Allah ka shukriya ada nahin kiya. (Tirmizi: 1955) □ Shukriya ada karna achchhi aadat hai. □ Agar koi ehsaan Kare to uska shukriya ada karna chaahiye. □ Na shukri Allah Ta'ala ko na pasand hai. |
03 JUNE (Aaj Ki Hadees) - Jo Shakhs Meri Itaa'at Karega Woh Jannat Mein Daakhil Hoga
Tarjama: Jo shakhs meri itaa'at karega woh Jannat mein daakhil hoga. (Bukhari: 7280) Hamare liye Hazrat Muhammad ﷺ ko Rasool maanna zaroori hai. Aap ﷺ ke tareeqon par chalna zaroori hai. Jo Aap ﷺ ke tareeqon par chalega woh Jannat mein daakhil hoga. |

