12 FEB (Aaj Ki Hadees) - Do Aadmiyon Ke Darmiyaan Mein Unki Ijaazat Ke Bagair Na Baitha Jaye

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Do aadmiyon ke darmiyaan mein unki ijaazat ke bagair na baitha jaye. (Abu Dawud: 4844)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 12 (Quran)

Rasulullah ﷺ se khitaab hai (Tarjama): Aap keh dijiye ki kya Ilm waale aur beilm baraabar hosakte hain? (Surah-e-Zumar: 9)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 11 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Wahi hai jis ne aasmaan se paani barsaaya jis se tumhein peene ki cheezein haasil hoti hain aur usi se darakht ugte hain jin mein tum maweshiyon ko charaate ho. Isi se Allah Ta'ala tumhaare liye khetiyaan, zaitoon, khajoor ke darakht, angoor aur har har qism ke phal ugaata hai. Haqeeqat yeh hai ke in sab baaton mein un logon ke liye badi nishaani hai jo sochte samajhte hon. (Sura-e-Nahal: 10,11)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

11 FEB (Aaj Ki Hadees) - Jo Do Musalmaan Aapas Mein Milte Hain Aur Musafaha Karte Hain

Aaj Ki Hadees
Hazrat Bara'a Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo do musalmaan aapas mein milte hain aur musafaha karte hain to juda hone se pehle donon ke gunah mu'af kardiye jaate hain. (Abu Dawud: 5212)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

10 FEB (Aaj Ki Hadees) - Jo Shakhs Narmi (Ki Sifat) Se Mehroom Raha, Wo Bhalayi Se Mehroom Raha

Aaj Ki Hadees
Hazrat Jarir Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs narmi (ki sifat) se mehroom raha, wo (saari) bhalayi se mehroom raha. (Muslim: 6598)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 10 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Usi ne insaan ko thheekre ki tarah khankhanaati hui mitti se paida kiya. (Sura-e-Rahmaan: 14)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

09 FEB (Aaj Ki Hadees) - Jis Mayyat Par Musalmaanon Ki Ek Badi Jama'at Namaaz Padhe


Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha riwaayat karti hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis mayyat par musalmaanon ki ek badi jama'at Namaaz padhe jinki tadaaad sau (100) tak pahunch jaye aur wo sab Allah Ta'ala se mayyat ke liye sifaarish karein, yani maghfirat wa rehmat ki dua karein to unki sifaarish zaroor qubool hogi. (Muslim: 2198)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 09 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aaj main ne tumhaare liye tumhaara Deen mukammal kar diya aur tum par apni nemat poori kar di aur tumhaare liye Islam ko Deen ke taur par (hamesha ke liye) pasand kar liya. (Sura-e-Ma'idah: 3)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

February - 08 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aur jo Allah Ta'ala ki yaad se ghaafil hota hai, to Ham us par ek shaitaan musallat kar dete hain, fir har waqt wo uske saath rahta hai. (Qur'an: 43: 36)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp