April - 12 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur kitne jaanwar hain jo apna rizq uthhaaye nahin phirte! Allah unhein bhi rizq deta hai aur tumhein bhi, aur wahi hai jo har baat sunta hai, har cheez jaanta hai. (Sura-e-Ankaboot: 60)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

12 APRIL (Hadees) - Bande Ko Jo Halki Ya Sakht Museebat Pesh Aati Hai

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Bande ko jo halki ya sakht museebat pesh aati hai, woh us ke gunaah ka nateeja hoti hai, aur bahot saare gunaahon ko to Allah Ta'ala maaf farma dete hain. (Tirmizi: 3252)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

11 APRIL (Hadees) - Aulaad Par Maan Baap Ka Kitna Haq Hai?

Aaj Ki Hadees
Hadees: Ek shakhs ne Rasoolullah ﷺ se poochha: Aye Allah ke Rasool! Aulaad par maan baap ka kitna haq hai? Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Woh tumaari Jannat aur dozakh hain. (Ibne Maaja: 3662)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 11 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Jo koi shakhs Islam ke siwa koi aur Deen ikhtiyaar karna chaahega, to us se woh Deen qubool nahin kiya jaayega aur aakhirat mein un logon mein shaamil hoga jo sakht nuqsaan uthhaane waale hain. (Surah Aal-e-Imran: 85)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

10 APRIL (Hadees) - Kaon Sa Amal Behter Hai?

Aaj Ki Hadees
Hadees: Huzoor ﷺ se ek shakhs ne daryaaft kiya ke ya Rasulullah ﷺ kaon sa amal behter hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Khaana khilaana aur salaam karna, chaahe tum use pehchaante hoya na pehchaante ho. (Bukhari: 12)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 10 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur jo shakhs Allah Ta'ala se darta hai to Allah Ta'ala har mushkil se khalasi ki koi na koi surat paida kar dete hain aur usko aisi jagah se rozi pahunchate hain jahan se usko khayal bhi nahi hota. (At-Tala'aq 65: 2-3)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

09 APRIL (Hadees) - Jis Ne Meri Sunnat Zinda Ki Us Ne Mujh Se Muhabbat Ki

Hadees
Rasoolullah (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaaya ke jis ne meri sunnat zinda ki us ne mujh se muhabbat ki aur jis ne mujh se muhabbat ki woh Jannat mein mere saath hoga. (Tirmizi: 2678)
 
Faida: Allah Ta'ala ke yahaan wahi amal maqbool hota hai jo Huzoor (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ke tareeqon ke mutaabiq ho. Lihaaza Huzoor (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ke tareeqon ko jaanna aur Aap (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ki batlaai hui duaaon, sunnaton aur aadaab ko seekhna aur un par amal karna ummat ke har fard ke liye zaroori hai.

Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 09 (Quran)

Qur'an main Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjuma): Aur jin logon ne kufr ki rawish apnaali hai, un ke liye dozakh ki aag hai, na to un ka kaam tamaam kiya jaayega ke woh mar hi jaaein aur na un se dozakh ka azaab halka kiya jaayega. Har naashukre kaafir ko ham aisi hi saza dete hain. (Sura-e-Faatir: 36)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

08 APRIL (Hadees) - Jo Shakhs Apna Kapda Fakhr Ke Taur Par Ghaseet Kar Chalega

Aaj Ki Hadees
Hadees: Huzoor ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo Shakhs apna kapda fakhr ke taur par ghaseet kar chalega, to Qayaamat ke din Allah Ta'ala us ki taraf (rahmat ki) nazar nahin farmaayeinge. (Bukhari: 3665)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp