April - 30 (Quran)

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai: Khabardaar zina ke qareeb bhi na phatko. Beshak zina badi behayaai aur buraai ka raasta hai. (Sura-e-Bani Israel: 32)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

30 APRIL (Hadees) - Tum Mein Se Woh Shakhs Us Waqt Tak Namaaz Ka Sawaab Paata Rehta

Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum mein se woh shakhs us waqt tak Namaaz ka sawaab paata rehta hai jab tak woh Namaaz ke intezaar mein rehta hai. Farishte uske liye yeh dua karte hain: Ya Allah iski maghfirat farmaiyye aur is par reham farmaiyye (Namaaz padhne ke baad bhi) jab tak Namaaz ki jagah bawazu baitha rehta hai, farishte uske liye yehi dua karte rehte hain. (Bukhari: 3229)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 29 (Quran)

Hazrat Shoaib 'alaihissalam ne apni qaum se farmaaya (Tarjama): (Aur main jis tarha in baaton ki tum ko taleem karta hoon, khud bhi to is par amal karta hoon) aur main ye nahi chahta ke jis kaam se tumhein mana karoon mein khud use karoon. (Hud 11: 88)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

29 APRIL (Hadees) - Qayaamat Ke Din Poore Poore Noor Ki Khush Khabri

Hadees
Hazrat Buraidah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Nabi-e-Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo log andheron mein bakasrat masjidon ko jaate rehte hain unko Qayaamat ke din poore poore Noor ki khush khabri suna dijiye. (Abu Dawud: 561)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 28 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Beshak Allah Ta'ala se unke wohi bande darte hain jo unki Azmat ka Ilm rakhte hain. (Fatir 35: 28)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

28 APRIL (Hadees) Azaan Aur Iqaamat Ke Darmiyani Waqt Mein Ki Dua Rad Nahi Hoti Yani Qubool Hoti Hai

Hadees
Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Azaan aur iqaamat ke darmiyani waqt mein ki dua rad nahi hoti yani qubool hoti hai. Sahaaba-e-Kiraam Raziyallahu 'anhum ne arz kiya: Ya Rasulullah! Hum kya dua maange? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala se duniya wa aakhirat ki aafiyat maanga karo. (Tirmizi: 3594)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 27 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur Hum ye misaalein logon ke liye bayaan karte hai, (lekin) inhe ilm waale hi samajhte hain. (Al-'Ankabut 29: 43)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

27 APRIL (Hadees) - Ya Rasulullah! Azaan Kehne Waale Ham Se Ajar Wo Sawaab Mein Badhehue Hain

Hadees
Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu 'anhuma farmaate hain ke ek shakhs ne arz kiya: Ya Rasulullah! azaan kehne waale ham se Ajar wo swab mein badhehue hai (Kya koi aisa amal hai ke humein bhi azaan dene wali fazilat miljaaye ?) Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Wohi kalimaat kaha karo jo mu'azzin kehte hain phir jab tum azaan ka jawaab de chuke to dua maango (jo maangoge) wo diya jayega. (Abu Dawud: 524)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

April - 26 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur bilashubah humne Dawud aur Sulaiman ko ilm ataa farmaaya aur us par un dono Nabiyon ne kaha ke sab tareefein us Allah Ta'ala ke liye hain jinho ne hamein apne bahut se Imaan waale bandon par fazilat di. (An-Nam 27: 15)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp