31 JAN (Aaj Ki Hadees) - Jab Koi Shakhs Apni Koi Baat Kahe Aur Phir Idhar Udhar Dekhe

Aaj Ki Hadees
Hazrat Jabir Bin Abdullah Raziyallahu Anhuma riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab koi shakhs apni koi baat kahe aur phir idhar udhar dekhe to wo baat amaanat hai. (Abu Dawud: 4868)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

January - 31 (Quran)

Allah Ta'ala ne apne Rasool ﷺ se irshaad farmaaya (Tarjama): Beshak jo log Imaan laye aur unho ne naik amal kiye Allah Ta'ala un keliye makhlooq ke dil mein mohabbat paida kareingey. (Maryam 19: 96)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

30 JAN (Aaj Ki Hadees) - Jis Se Kisi Muaamle Mein Mashwara Kiya Jaye

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis se kisi muaamle mein mashwara kiya jaye us muaamle mein us par bharosa kiya gaya hai (lihaaza use chahiye ki mashwara lene waale ka raaz zaahir na kare aur wahi mashwara de jo mashwara lene waale ke liye zyaada mufeed ho). (Tirmizi: 2822)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

January - 30 (Quran )

Allah Ta'ala Qur'an mein farmaata hai (Tarjama): Aur baaz aadmi aise hain, jo in baaton ki khareedaari karte hain, jo gaafil karne waali hain, taake Allah ke raaste se besoche samjhe hataadein aur us ki hansi udaaein, aise logon ke liye zillat wa ruswaai ka azaab hai. (Sura-e-Luqmaan: 6)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

29 JAN (Aaj Ki Hadees) - Jo Shakhs Apni Qaum Ki Nahaq Madad Karta Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Masud Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs apni qaum ki nahaq madad karta hai wo us ount ki tarah hai jo kisi kunwe mein gir gaya ho aur usko dum se pakad kar nikaala jaa raha ho. (Abu Dawud: 5117)
 
Faida: Matlab ye hai ke jis tarah kunwe mein gire hue ount ko dum se pakad kar nikaalne ki koshish karna apne aapko befaida mushaqqat mein daalna hai, kyunke is tareeqe se ount ko kunwe se nahi nikala jaasakta isi tarah qaum ki nahaq madad karna bhi befaida hai, kyunke is tareeqe se qaum ko sahi raaste par nahin daala jaasakta. (Bazl-ul-Majhud)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

January - 29 (Quran )

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur jo kuch tum ko duniya mein diya gaya hai woh sirf duniya ki chand roz zindagi guzaarne ka samaan aur yahan ki (fanaa hone waali) raunaq hai aur jo kuch Allah Ta'ala ke paas hai woh behtar aur hamesha baaqi rehne waala hai, kya tum itni baat bhi nahi samajhte? (Al-Qasas 28: 60)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

28 JAN (Aaj Ki Hadees) - Kaun Se Musalmaan Ka Islam Afzal Hai?

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Musa Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya: Ya Rasulullah kaun se musalmaan ka Islam afzal hai? Irshaad farmaaya: Jis (musalmaan) ki zubaan aur haath se dusre musalmaan mehfooz rahein. (Bukhari: 11)
 
Faida: Zuban se takleef pahunchane mein kisi ka mazaaq udana, tohmat lagana, bura bhala kehna aur haath se takleef pahunchane mein kisi ko nahaq maarna, kisi ka maal zulman lena waghaira umoor shaamil hain. (Fath-ul-Bari)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

January - 28 (Quran )

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur jisne Allah Ta'ala aur unke Rasool ki baat maani, us ne badi kaamiyabi hasil ki. (Al-Ahza'ab 33: 71)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

27 JAN (Aaj Ki Hadees) - Musalmaan Wo Hai Jiski Zubaan Aur Haath Se Musalmaan Mehfooz Rahein

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Amr Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Musalmaan wo hai jiski zubaan aur haath se musalmaan mehfooz rahein. Aur Muhajir (yani chordne waala) wo hai jo un tamaam kaamon ko chord de, jisse Allah Ta'ala ne roka hai. (Bukhari: 10)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

January - 27 (Quran )

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aur momin aurton se keh dijiye ke apni nigaahein neechi rakhein. (Sura-e-Noor: 31)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

26 JAN (Aaj Ki Hadees) - Wo Shakhs Jannat Mein Daakhil Na Ho Sakega

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Wo shakhs jannat mein daakhil na ho sakega jiski shararaton se uska padosi mehfooz na ho. (Muslim: 172)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

January - 26 (Quran )

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Jo log Imaan laye aur unhone apne imaan mein shirk ki milawat nahi ki, aman inhi keliye hai aur yehi log hidayat par hain. (Qur'an Surah Al-An'aam: 82)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

25 JAN (Aaj Ki Hadees) - Tum Log Bachchon Ko Pyaar Karte Ho?

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se riwaayat hai Ke ek dehaat ke rehne waale shakhs Nabi Kareem ﷺ ki khidmat mein haazir hue aur kaha ke tum log bachchon ko pyaar karte ho ? hum to inko pyaar nahin karte. Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Agar Allah Ta'ala ne tumhare dil se rehmat ka ma'adda nikaal diya hai to isme mera kya ikhtiyaar hai. (Bukhari: 5998)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

January - 25 (Quran )

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Waada poora karo; beshak waade ki poochh hogi. (Sura-e-Bani Israaeel: 34)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

24 JAN (Aaj Ki Hadees) - Aulaad Ko Achchhi Taaleem Wa Tarbiyat Se Behtar Koi Tohfa Nahin Diya

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayyub Rahimahullah apne waalid se aur wo apne dada se riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Kisi baap ne apni aulaad ko achchhi taaleem wa tarbiyat se behtar koi tohfa nahin diya. (Tirmizi: 1952)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

January - 24 (Quran )

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Quraabatdaar (rishtedaar) ko us ka haq dete rehna aur mohtaaj aur musaafiron ko bhi dete rehna aur (maal ko) bemauqa mat udaana, (kiyun ke) beshak bemauqa (maal) udaane waale shaitaanon ke bhaai hain aur shaitaan apne Rab ka bada naashukra hai.
(Sura-e-Isra: 26,27)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

23 JAN (Aaj Ki Hadees) - Jis Shakhs Ki Teen Betiyaan Ya Teen Behnein Hon

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Sayeed Khudri Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ki teen betiyaan ya teen behnein hon ya do betiyaan ya do behnein hon aur wo unke saath achchha muaamla rakhe aur unke huqooq ke bare mein Allah Ta'ala se darta rahe to uske liye jannat hai. (Tirmizi: 1916)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

January - 23 (Quran )

Qur'an Me Allah Ta'ala Farmaata Hai: Aye Imaan WaaIon! (Tabee'aton se Gam, takleef Aur Pareshaaniyon Ko Halka Karne Ke Liye) Sabr Aur Namaaz Se Madad Haasil Karo, Yaqeenan Allah Ta'ala Sabr Karne Waalon Ke Saath Hai. (Sura-e-Baqarah: 153)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

22 JAN (Aaj Ki Hadees) - Jisko Hadiye Ke Taur Par Khushbu Daar Phool Pesh Kiya Jaye

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jisko hadiye ke taur par khushbu daar phool pesh kiya jaye to use chahiye ke wo ise rad na kare, kyunke wo bahut halki aur kam qeemat cheez hai aur uski khushbu bhi achchhi hoti hai. (Muslim: 5883)
 
Faida: Phool jaisi kam qeemat cheez ko qubool karne se agar inkaar kiya jaye to iska bhi andesha hai ke pesh karne waale ko khayaal ho ke meri cheez kam qeemat hone ki wajah se qubool nahi ki gayi aur isse uski dilshikni ho. (Maariful Hadees)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

21 JAN (Aaj Ki Hadees) - Jo Shakhs Logon Ka Shukar Guzaar Nahi Hota

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs logon ka shukar guzaar nahi hota, wo Allah Ta'ala ka bhi shukar adaa nahi karta. (Tirmizi: 1954)
 
Faida: Baaz shaarheen ne Hadees ka ye matlab bayan kiya hai ke jo ehsaan karne waale bandon ka shukar guzaar nahi hota wo na shukri ki is aadat ki wajah se Allah Ta'ala ka shukar guzaar bhi nahi hota.


Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

January - 21 (Quran )

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Aur Neki aur Taqwaa ke kaamon mein ek dusre ki madad kiya karo. Aur gunah aur zulm ke kaamon mein ek dusre ki madad na kiya karo. (Surah Al-Maidah 5: 2)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

20 JAN (Aaj Ki Hadees) - Main Aur Yateem Ki Kifaalat Karne Waala Jannat Mein Is Tarah (Qareeb) Honge

Aaj Ki Hadees
Hazrat Sahl Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Main aur yateem ki kifaalat karne waala jannat mein is tarah (qareeb) honge, Nabi Kareem ﷺ ne shahadat ki aur beech ki ungli se ishaara farmaaya aur un donon ke darmiyaan thodi si kushadgi rakhi. (Bukhari: 5304)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

January - 20 (Quran )

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Aur Allah ki yaad bahut badi cheez hai. (Al- 'Ankabut: 45)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

19 JAN (Aaj Ki Hadees) - Mazdoor Ka Pasina Khushk Hone Se Pehle Us Ki Mazdoori De Diya Karo

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu Anhuma riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Mazdoor ka pasina khushk hone se pehle us ki mazdoori de diya karo. (Ibne Majah: 2443)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

January - 19 (Quran )

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Khoob samajhlo, Allah Ta'ala ke zikr hi se dilon ko itminaan huwa karta hai. (Qur'an Ar-Ra'd 13: 28)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

18 JAN (Aaj Ki Hadees) - Momin Mard Ki Ye Shaan Nahin Ke Apni Momina Biwi Se Bughz Rakhe

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin mard ki ye shaan nahin ke apni momina biwi se bughz rakhe. Agar uski ek aadat use na pasand hogi to dusri pasandida bhi hogi. (Muslim: 3645)
 
Faida: Rasulullah ﷺ ne is Hadees-e-shareef mein husn-e-muasharat ke ek mukhtasar usool bata diya ke ek insaan mein agar koi buri aadat hai to us mein kuch khoobiyan bhi hongi, aisa kaun hoga jis mein koi burayi na ho ya koi khoobi na ho. Lihaaza buraiyon se chashm poshi ki jaye aur khoobiyon ko dekha jaye.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

January - 18 (Quran )

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Yaqeenan ham ne Qur'aan ko Arabi zabaan mein utaara. (Sura-e-Yousuf 12: 2)

Musalmaanon ki asal zabaan Arabi hai. Lihaaza har musalmaan ko Arabi zabaan se dili muhabbat aur lagaao hona chaahiye aur is ko seekhne ki koshish karna chaahiye is liye ke yeh Islaami zabaan hai, Qur'aan ki zabaan hai, Hamaare Nabi (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ki zabaan hai, Jannat waalon ki zabaan hai.

Share on: