29 FEB (Aaj Ki Hadees) - Sharm Wa Haya Har Cheez Ko Khoobsoorat Bana Deti Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne farmaaya: Fahash goyi har cheez ko aibdaar bana deti hai aur sharm wa haya har cheez ko khoobsoorat bana deti hai. (Ibne Maajah: 4185)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

28 FEB (Aaj Ki Hadees) - Naiki Achchhe Aklaaq Ka Naam Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Nawwas Bin Saman Ansari Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ se naiki aur gunah ke baare mein poocha: Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Naiki achchhe aklaaq ka naam hai aur gunah wo hai jo tumhare dil mein khatke aur tumhe ye baat na pasand ho ke logon ko iski khabar ho. (Muslim: 6516)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 28 (Quran)

Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Jo log paak daaman aurton par tohmat lagaayein, phir 4 gawaah le kar na aaein, to un ko 80 kode lagaao aur un ki gawaahi kabhi qubool na karo, aur woh khud faasiq hain. (Sura-e-Noor: 4)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

27 FEB (Aaj Ki Hadees) - Qayamat Ke Din Mere Sabse Qareeb Wo Log Hongey Jinke Akhlaaq Zyaada Achchhe Hongey

Aaj Ki Hadees
Hazrat Jabir Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum sab mein se Mujhe zyaada mehboob aur Qayamat ke din Mere sabse qareeb wo log hongey jinke akhlaaq zyaada achchhe hongey. (Tirmizi: 2021)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 27 (Quran)

Allah Ta'ala ka Irshaad hai (Tarjama): Badi kharaabi hai naap tol mein kami karne waalon ki, jin ka haal yeh hai ke jab woh logon se khud koi cheez naap kar lete hain, to poori poori lete hain aur jab woh kisi ko naap kar ya tol kar dete hain to ghata kar dete hain. (Sura-e-Mutaffifeen 83: 1-3)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

26 FEB (Aaj Ki Hadees) - Kaamil Tareen Imaan Waalon Mein Se Wo Shakhs Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha riwaayat karti hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Kaamil tareen Imaan waalon mein se wo shakhs hai jiske akhlaaq sabse achchhe hon aur jiska bartao apne ghar waalon ke saath sabse zyaada narm ho. (Tirmizi: 2612)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 26 (Quran)

Allah Ta'ala irshaad farmaata hai (Tarjama): Jab kisi ko koi cheez paimaane se naap kar do, to poora naapo aur tolne ke liye sahi taraazu istemaal karo, yahi tareeqa durust hai aur isi ka anjaam behtar hai. (Sura-e-Bani Israail 17: 35)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

25 FEB (Aaj Ki Hadees) - Ek Darakht Musalmaanon Ko Takleef Deta Tha

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Ek darakht Musalmaanon ko takleef deta tha, ek shakhs ne aakar use kaat diya, to wo (is amal ki wajah se) jannat mein daakhil ho gaya. (Muslim: 6672)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 25 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Beshak Allah Ta'ala shirk ko maaf nahin karega aur is ke alaawa jis gunah ko jis ke liye chaahega maaf kardega. (Sura-e-Nisa 4: 116)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

24 FEB (Aaj Ki Hadees) - Jis Bande Ki Main Do Mehboob Tareen Cheezein Yani Aankhein Le Loon

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu Rasulullah ﷺ se Hadees-e-Qudsi mein Apne Rabb ka ye irshaad-e-Mubarak naql farmaate hain: Jis bande ki main do mehboob tareen cheezein yani aankhein le loon aur wo us par sabr kare aur ajar wa sawaab ki ummeed rakhe to Main uske liye jannat se kam badle par raazi nahi hunga. (Tirmizi: 2401)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 24 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Jin logon ne kufr kiya aur hamaari aayaton ko jhutlaaya, wahi log Jahannam waale hain, woh us mein hamesha hamesha raheinge. (Sura-e-Baqarah 2: 39)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

23 FEB (Aaj Ki Hadees) - Jab Kisi Musalmaan Ko Kaanta Chubta Hai Ya Isse Bhi Kam Koi Takleef Pahunchti Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmaati hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Jab kisi Musalmaan ko kaanta chubta hai ya isse bhi kum koi takleef pahunchti hai to uske badle Allah Ta'ala ki taraf se uske liye ek darja likh diya jaata hai aur uska ek gunah mu'af kar diya jaata hai. (Muslim: 6561)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 23 (Quran)

Allah Ta'al ka irshaad hai (Tarjama): Allah Ta'ala adl wa insaaf karne ka aur ehsaan karne ka hukm deta hai. (Sura-e-Nahl 16: 90)
Share this on: 

Deeniyat Feb 23

22 FEB (Aaj Ki Hadees) - Musalmaan Jab Bhi Kisi Thakawat, Beemari, Fikr, Ranj Wa Malaal, Takleef..

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Sa'id Khudri aur Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Musalmaan jab bhi kisi thakawat, beemari, fikr, ranj wa malaal, takleef aur gham se do chaar hota hai, yahan tak ke use koi kaanta bhi chubta hai to Allah Ta'ala iski wajah se uske gunahon ko mu'af farmaadete hain. (Bukhari: 5641)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 22 (Quran)

Allah Ta'al ka irshaad hai (Tarjama): Aur kisi qaum ki dushmani tum ko is baat par aamaada na kare ke tum us ke saath insaaf na karo, tum insaaf se kaam lo, yahi tareeqa taqwa se ziyaada qareeb hai. (Sura-e-Maidah 5: 8)
Share this on: 

21 FEB (Aaj Ki Hadees) - Ek Musalmaan Ke Dusre Musalmaan Par Paanch Haq Hain

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Maine Rasullulah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Ek Musalmaan ke dusre musalmaan par paanch haq hain: Salaam ka jawaab dena, beemar ki iyaadat karna, janaaze ke saath jaana, daawat qubool karna aur cheenk ne waale ke jawaab mein "Yarhamukallah" kehna. (Bukhari: 1240)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 21 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Beshak Namaz behayayi aur bure kaamon se rokti hai. (Al-'Ankabut 29: 45)
Share on: 

February - 20 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Jo log Imaan laye aur Naik amal karte rahe khususan Namaz ki pabandi ki aur zakaat adaa ki to unke Rabb ke paas unka sawaab mehfooz hai aur na unko kisi qism ka khauf hoga aur na woh ghamgeen honge. (Al-Baqarah 2: 277)


Share on: 

20 FEB (Aaj Ki Hadees) - Chhota Bade Ko Salaam Kare, Guzarne Waala Baithe Hue Ko Salaam Kare

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Chhota bade ko Salaam kare, guzarne waala baithe hue ko Salaam kare aur thode aadmi zyaada aadmiyon ko Salaam Karein. (Bukari: 6231)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 19 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Logo! Allah Ta'ala ke in ehsanat ko yaad karo jo Allah Ta'ala ne tum par kiye hain. Zara soncho to sahi, Allah Ta'ala ke elawa bhi koi khaliq hai jo tum ko aasmaan wa zameen se rozi pahunchata ho, uske siwa koi haqeeqi ma'abood nahi. Phir Allah Ta'ala ko chood kar tum kahan chale jarahe ho. (Surah-e-Fatir 35: 3)


Share on: 

19 FEB (Aaj Ki Hadees) - Jab Tum Apne Ghar Mein Daakhil Ho To Ghar Waalon Ko Salaam Karo

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmaate hain ke muje Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Bete ! Jab tum apne ghar mein daakhil ho to ghar waalon ko Salaam karo ye tumhare liye aur tumhare ghar waalon keliye barkat ka sabab hoga. (Tirmizi: 2698)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 18 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Humare paas har cheez ke khazane bhare padhe hai magar phir hum hikmat se har cheez ko ek moi'n miqdar se utarte rahte hain. (Surah-e-Hijr 15: 21)
Share on: 

18 FEB (Aaj Ki Hadees) - Logon Mein Allah Ta'ala Ke Qurb Ka Zyaada Mustahiq Wo Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Umamah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Logon mein Allah Ta'ala ke Qurb ka zyaada mustahiq wo hai, jo Salaam karne mein pahel kare. (Abu Dawud: 5197)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

17 FEB (Aaj Ki Hadees) - Salaam Ko Aapas Mein Khoob Phailao

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum jannat mein nahin jaa sakte, jab tak momin na ho jao (yani tumhari zindagi imaan waali zindagi na ho jaye) aur tum us waqt tak momin nahi ho sakte, jab tak aapas mein ek dusre se mohabbat na karo. Kya main tumhe wo amal na batadun jiske karne se tumhare darmiyaan mohabbat paida hojaye? (wo ye hai ke) Salaam ko aapas mein khoob phailao. (Muslim: 194)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 17 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aye Imaan waalo: Allah se sachchi pakki touba karo, ummeed hai ke tumhaara Rab tumhaare gunah ko mita dega aur aisi Jannat mein daakhil karega jis ke neeche nehrein behti hongi. (Sura-e-Tehreem 66: 8)

Share on: 

16 FEB (Aaj Ki Hadees) - Jo Musalmaan Kisi Musalmaan Ki Subah Ko Iyaadat Karta Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Jo musalmaan kisi musalmaan ki subah ko iyaadat karta hai to shaam tak sattar (70) hazaar farishte uske liye dua karte rehte hain aur jo shaam ko iyaadat karta hai to subah tak sattar hazar farishte uske liye dua karte rehte hain aur use jannat mein ek baagh miljaata hai. (Tirmizi: 969)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

February - 16 (Quran)

Zameen mein fasaad machaane ki koshish naa karo, yaqeen jaano Allah fasaad machaane waalon ko pasand nahin karta. (Surah-e-Qasas 28: 77)


Share on: 

February - 15 (Quran)

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur beshak sirkashon keliye bahut hi bura thikana hai yani dozakh jis mein woh girenge. Woh kaisi buri jagah hai. Ye khaulta hua paani aur peep (maujood) hai, ye log usko chakhein aur iske alawa aur bhi is qism ki mukhtalif nagawar cheezein hain. (usko bhi chakhein) (Saad 38: 55-58)
Share on: