31 AUG (Aaj Ki Hadees) - Ek Alim-e-Deen shaitaan par hazaar abidon se zyaada sakht hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ibn-e-Abbas Raziyallahu Anhuma farmaate hain ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Ek Alim-e-Deen shaitaan par hazaar abidon se zyaada sakht hai. (Tirmizi: 2681)
 
Faida: Hadees Shareef ka matlab ye hai ke shaitaan keliye ek hazaar abidon ko dhoka dena aasan hai, poore Deen ki samjh rakhne waale ek Alim ko dhoka dena mushkil hai.


Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

30 AUG (Aaj Ki Hadees) - Qayamat Ki Alamaatein

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmaate hain ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Qayamat ki alamaaton mein se ye hai ke ilm utha liya jayega, jihaalat aajayegi, sharaab (khullam khulla) pijayegi aur zina phail jayega. (Bukhari: 80)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

29 AUG (Aaj Ki Hadees) - Rabb aasman-e-duniya ki taraf nuzool farmaate hain

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab raat ka tihayi hissa baaqi reh jaata hai to har raat hamare Rabb aasman-e-duniya ki taraf nuzool farmaate hain aur irshaad farmaate hain kaun hai jo mujhse dua kare main uski dua qubool karun? kaun hai jo mujhse maange main usko ataa karun? kaun hai jo mujhse maghfirat talab kare main uski maghfirat karun? (Bukhari: 1145)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

28 AUG (Aaj Ki Hadees) - Momin bhalai (yani ilm) se kabhi sair nahin hota

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Sayeed Khudri Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin bhalai (yani ilm) se kabhi sair nahin hota wo ilm ki baaton ko sunkar seekhta rehta hai (yahan tak ke use maut aa jati hai) aur jannat mein dakhil hojaata hai. (Tirmizi: 2686)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

27 AUG (Aaj Ki Hadees) - Sakhtiyon Aur Bechainiyon Ke Waqt Uski Dua

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo Shakhs ye chahe ke Allah Ta'ala sakhtiyon aur bechainiyon ke waqt uski dua qubool farmaaye use chahiye ke woh khushhaali ke zamane mein zyaada dua kiya kare. (Tirmizi: 3382)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

26 AUG (Aaj Ki Hadees) - Dua se zyaada buland martaba koi cheez nahi

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ke Nazdeek dua se zyaada buland martaba koi cheez nahi. (Tirmizi: 3370)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

25 AUG (Aaj Ki Hadees) - Dozakh Ki Aag Haraam

Aaj Ki Hadees
Hazrat Umme Habiba Raziyallahu Anha se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya jo shakhs Zohar se pehle chaar rakatein aur Zohar ke baad chaar rakatein pabandi se padhta hai Allah Ta'ala use dozakh ki aag par haraam farma dete hai. (Nisai: 1817)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

24 AUG (Aaj Ki Hadees) - Jannat Mein Mahal

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Rasullullah ﷺ ka irshaad naqal farmaati hain jo shakhs baara (12) rakaatein padhne ki pabandi karta hai Allah Ta'ala uske liye jannat mein mahal banate hain chaar (4) rakatein zohar se pehle, do (2) rakatein zohar ke baad, do (2) rakatein maghrib ke baad, do (2) rakatein isha ke baad aur do (2) rakaatein fajr se pehle. (Nisai: 1796)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

23 AUG (Aaj Ki Hadees) - Gharon Mein Namaaz

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Mera Dil chahta hai ki chand jawanon se kahun ke bahut saara indhan ekatta karke laayein phir main un logon ke paas jaaon jo baghair kisi uzr ke gharon mein Namaaz padh lete hain aur unke gharon ko jalaa doon. (Abu Dawood: 549)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

22 AUG (Aaj Ki Hadees) - Bajamaat Namaaz Padhna

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ubayy Bin Ka'ab Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Ek aadmi ka dusre ke saath bajamaat Namaaz padhna uske akele Namaaz padhne se afzal hai aur teen aadmiyon ka bajamaat Namaaz padhna do aadmiyon ke bajamaat padhne se afzal hai. Isi tarah jamaat ki Namaaz mein majma jitna zyaada hoga utna hi Allah Ta'ala ko zyaada mehboob hai. (Abu Dawood: 554)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

21 AUG (Aaj Ki Hadees) - Niyyat Raat Ko Tahajjud Padhne Ki

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Darda Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo Shakhs raat ko sone ke liye bistar par aaye aur uski niyyat raat ko tahajjud padhne ki thi lekin woh aisa soya ke subah hi jaga to usko uski niyyat par tahajjud ka sawaab milta hai aur uska sona Allah Ta'ala ki taraf se ek inaam hai. (Nisai: 1788)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

20 AUG (Aaj Ki Hadees) - Teen qism ke log Qayamat ke din mushk ke teelon par hongey.

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Teen qism ke log Qayamat ke din mushk ke teelon par hongey. Un par agle pichle sab log rashk kareingey. Ek woh shakhs jo din raat ki paanch namaazon keliye azaan diya karta tha. Dusra woh shakhs jisne logon ki imaamat ki aur woh usse raazi rahe. Teesra woh ghulam jo Allah Ta'ala ka bhi haq adaa kare aur apne aaqaon ka bhi haq adaa kare. (Tirmizi: 2566)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

19 AUG (Aaj Ki Hadees) - Qayamat ke din log teen qismon mein uthaye jayeingey

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Qayamat ke din log teen qismon mein uthaye jayeingey. Paidal chalne waale, sawaar aur mooh ke bal chalne waale. Arz kiya gaya: Ya Rasulullah ! Mooh ke bal kis tarah chal sakengey ? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis Allah ne unhe paon ke bal chalaya hai, woh unko mooh ke bal chalane par bhi yaqeenan qudrat rakhte hain. Achchhi tarah samajh lo ! yeh log apne mooh ke zariye hi zameen ke har teelay aur kaante se bacheingey. (Tirmizi: 3142)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

18 AUG (Aaj Ki Hadees) - Jitni Aazmaish Sakht hoti hai uska badla bhi utna hi bada milta hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu Anhu riwaayat Karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jitni Aazmaish Sakht hoti hai uska badla bhi utna hi bada milta hai aur Allah Ta'ala jab kisi qaum se mohabbat karte hain to usko Aazmaish mein daalte hain. Phir jo us Aazmaish par raazi raha Allah Ta'ala bhi usse raazi ho jaate hain aur jo naraaz hua Allah Ta'ala bhi usse naraaz ho jaate hain. (Tirmizi: 2396)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

17 AUG (Aaj Ki Hadees) - Jo Shaks Saf Ko Milaata Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs saf ko milaata hai Allah Ta'ala use apni rehmat se milaa dete hain aur jo shakhs saf ko todta hai Allah Ta'ala use apni rehmat se door kardete hain. (Abu Dawud: 666)
 
Faida: Saf todne ka matlab yeh hai ke saf ke darmiyaan aisi jagah par koi samaan rakhde ke saf puri na hosake ya saf mein khaali jagah dekh kar bho use pur na kare.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

16 AUG (Aaj Ki Hadees) - Kaun se Waqt ki dua zyaada qubool hoti hai ?

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu se Riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ se daryaft kiya gaya Ya Rasullullah ! Kaun se Waqt ki dua zyaada qubool hoti hai ? Irshaad farmaaya raat ke aakhiri hisse mein aur farz namaazon ke baad. (Tirmizi: 3499)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

15 AUG (Aaj Ki Hadees) - Samajhdaar Aadmi

Aaj Ki Hadees
Hazrat Shaddad Bin Aws Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Samajhdaar Aadmi Woh Hai Jo Apne Nafs Ka Muhasaba Karta Rahe Aur Maut Ke Baad KeLiye Amal Kare. Aur Nasamhdaar Aadmi Woh Hai Jo Nafs Ki Khuwahishon Par Chale Aur Allah Ta'ala Se Ummeedein Rakhe (Ke Allah Ta'ala Bade Mu'af Farmaane Waale Hain). (Tirmizi: 2459)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

14 AUG (Aaj Ki Hadees) - Mujahid woh hai jo apne nafs se jihaad kare

Aaj Ki Hadees
Hazrat Fazala Bin Ubaid Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Mujahid woh hai jo apne nafs se jihaad kare yani nafsaani khuwaishaat ke khilaaf chalne ki koshish kare. (Tirmizi: 1621)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

13 AUG (Aaj Ki Hadees) - Safaid Baalon Ko Nochne Se Manaa Farmaaya

Aaj Ki Hadees
Hazrat 'Amr bin Sho'eb (Raziyallahu 'Anhuma) apne baap dada ke hawale se Riwaayat karte hain ke Nabi kareem ﷺ ne safaid baalon ko nochne se manaa farmaaya aur irshaad farmaaya: ke ye budhapa musalmaan ka noor hai. (Tirmizi: 2821)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

12 AUG (Aaj Ki Hadees) - Jo koi apne bhai ki haajat puri karta hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah bin Umar (Raziyallahu Anhu) Riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne Irshaad farmaaya: Jo koi apne bhai ki haajat puri karta hai Allah Ta'ala us ki haajat poori farmaate hain. (Abu Dawood: 4893)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

11 AUG (Aaj Ki Hadees) - Duniya ki qadr wa qeemat

Aaj Ki Hadees
Hazrat Sahl ibne Sa'd (Raziyallahu 'Anhu) Riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne Irshaad farmaaya: Agar Duniya ki qadr wa qeemat Allah Ta'ala ke Nazdeek ek Machchar ke par ke baraabar bhi hoti to Allah Ta'ala kisi Kaafir ko is mein se ek ghoont paani na pilaate (kyunke duniya ki qeemat Allah Ta'ala ke nazdeek itni bhi nahi hai isliye Kaafir faajir ko bhi duniya behisaab di hui hai. (Tirmizi: 2320)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

10 AUG (Aaj Ki Hadees) - Sila Rehmi

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah bin Amr (Raziyallahu 'Anhuma) se Riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne Irshaad farmaaya: Wo Shakhs Sila Rehmi karne waala nahi hai jo barabari ka muamla kare yaani dusre ke achcha bartao karne par usse achcha bartao kare balke Sila Rehmi karne waala to wo hai jo dusre ke Qata Rehmi karne par bhi Sila Rehmi kare. (Bukhari: 5991)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

09 AUG (Aaj Ki Hadees) - Jis Shakhs se Ilm ki koi baat poochi jaye

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah (Raziyallahu 'anhu) farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ne Irshaad farmaaya: Jis Shakhs se Ilm ki koi baat poochi jaye aur wo (baawajood jaanne ke) usko chupaye to Allah Ta'ala Qayamat ke din uske muh mein aag ki lagaam daleingey. (Abu Dawood: 3658)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

08 AUG (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala ke raaste mein ek subah ya ek shaam

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu 'anhu farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ke raaste mein ek subah ya ek shaam duniya wa maafeeha se bahter hai. (Bukhari: 6568)
 
Faida: Matlab ye hai ke duniya aur duniya mein jo kuch hai wo sab Allah Ta'ala ki raah mein kharch kardiya jaye tab bhi Allah Ta'ala ke raaste ki ek subah ya ek shaam isse zyaada ajar dilaane waali nahi. (Mirqa't)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

07 AUG (Aaj Ki Hadees) - Saadgi Imaan Ka Hissa Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Umamah Raziyallahu 'anhu farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ke Sahaaba ne ek din Aap ﷺ ke saamne duniya ka zikr kiya to Rasulullah ﷺ ne Irshaad farmaya: Ghaur se suno, dhiyaan do. Yaqeenan Saadgi Imaan ka hissa hai, Yaqeenan Saadgi Imaan ka hissa hai. (Abu Dawud: 4161)
 
Faida: Isse muraad takallufaat aur zaib wa zeenat ki cheezon ko chordna hai.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

06 AUG (Aaj Ki Hadees) - Momin Jo Logon Se Milta Julta Ho

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah bin Umar (Raziyallahu Anhuma) riwaayat karte hain ke Rasulullah (Salallahu 'Alaihi wa Sallam) ne Irshaad farmaaya: Wo Momin jo logon se milta julta ho aur unse pahunchne waali takleefon par sabr karta ho wo us momin se afzal hai Jo logon ke saath mail jol na rakhta ho aur unse pahunchne waali takleefon par sabr na karta ho. (Ibne Maaja: 4032)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp