22 NOV (Aaj Ki Hadees) - Budhaape Ki Wajah Se Izzat

Aaj Ki Hadees
Jo jawaan bhi kisi boodhe shakhs ki us ke budhaape ki wajah se izzat karta hai, to Allah Ta'ala us jawaan ke budhaape ke waqt kisi aise shakhs ko mutayyan kar deta hai jo us ki izzat karta hai. (Tirmizi: 2022)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

21 NOV (Aaj Ki Hadees) - Duniya Mein Jo 2 Rukha (Munaafiq) Hoga

Aaj Ki Hadees
Duniya mein jo 2 rukha (munaafiq) hoga, qayaamat ke din us ke munh mein aag ki 2 zabaanein hongi. (Abu Dawud: 4873)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

20 NOV (Aaj Ki Hadees) - Mujhe Ziyaada Muhabbat Us Shakhs Se Hai Jis Ke Akhlaaq Ziyaada Achchhe Hain

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum sab mein mujhe ziyaada muhabbat us shakhs se hai jis ke akhlaaq ziyaada achchhe hain. (Bukhari: 3759)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

19 NOV (Aaj Ki Hadees) - Qayaamat Ke Din Taraazu Mein Achchhe Akhlaaq Se Bhaari Koi Cheez Na Hogi

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: (Qayaamat ke din momin ke) Taraazu mein achchhe akhlaaq se bhaari koi cheez na hogi. (Abu Dawud: 4799)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

18 NOV (Aaj Ki Hadees) - Islaam Mein Behtareen Cheez

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: (Islaam mein behtareen cheez yeh hai ke) Tum (logon ko) khaana khilaao, aur har ek ko salaam karo, jis ko tum pehchaante ho aur jis ko tum nahin jaante. (Bukhari: 6236)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

17 NOV (Aaj Ki Hadees) - Jab Nigaah Ghar Mein Chali Gayi, To Phir Ijaazat Koi Cheez Nahin

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab nigaah ghar mein chali gayi, to phir ijaazat koi cheez nahin (yani ijaazat ka phir koi faida nahin). (Abu Dawud: 5173)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

16 NOV (Aaj Ki Hadees) - Duniya Momin Ke Liye Qaid Khana Aur Kafir Ke Liye Jannat Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Duniya Momin ke liye qaid khana aur kafir ke liye jannat hai. (Muslim: 7417)
 
Faida: Ek momin keliye jannat main jo ne'matein tayyar hain is lihaaz se ye duniya momin ke liye qaid khana aur kafir ke liye jo hamesha ka azaab hai us lihaaz se duniya uske liye jannat hai. (Mirqat)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

15 NOV (Aaj Ki Hadees) - Jis Ko Allah Ta’ala Se Milna Pasand Ho

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ubaadah Bin Saamit Raziyallahu Anhu Se Riwaayat Hai Ke Rasoolullah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya: Jis Ko Allah Ta’ala Se Milna Pasand Ho, To Allah Ta’ala Ko Bhi Us Se Milna Pasand Hota Hai. Aur Jis Ko Allah Ta’ala Ki Mulaaqaat Naa Gawaar Ho, Allah Rabb-ul-Izzat Ko Bhi Us Se Milna Naa Gawaar Hota Hai. (BUKHARI: 6507)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

14 NOV (Aaj Ki Hadees) - Jannat Mein Ek Kudhe Ki Jagah

Aaj Ki Hadees
Hazrat Sahl Bin Sa'd Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jannat mein ek kudhe ki jagah (yani kam se kam jagah bhi) duniya aur jo kuch us mein hai, us se behtar (aur zyaada qeemti) hai. (Bukhari: 3250)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

13 NOV (Aaj Ki Hadees) - Deeni Maamool Ko Chordna Achhchi Baat Nahin Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat 'Abdullah Bin 'Amr Bin 'Aas Raziyallahu Anhuma farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ne mujhse irshaad farmaaya: 'Abdullah! Tum falan ki tarah mat hojana ke wo raat ko tahajjud padha karta tha, phir tahajjud chord di. (Bukhari: 1152)
 
Faida: Matlab yeh hai ke bila kisi uzr ke apne Deeni maamool ko chordna achhchi baat nahin hai. (Mazahir-e-Haqq)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

12 NOV (Aaj Ki Hadees) - Ishraaq ki Namaaz

Aaj Ki Hadees
Hazrat Mu'az Bin Anas Juhani Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs fajr ki Namaaz se faarigh hokar usi jagah baitha rehta hai, khair ke alaawa koi baat nahin karta, phir do rakaat Ishraaq ki Namaaz padhta hai, uske gunaah mu'aaf ho jaate hain, chaahe wo samundar ke jhaag se zyaada hi hon. (Abu Dawud: 1287)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

11 NOV (Aaj Ki Hadees) - Khoob Kasrat Se Sajde Kiya Karo

Aaj Ki Hadees
Hazrat 'Ubadah Bin Samit Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke unhon ne Nabi Kareem ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Jo banda bhi Allah Ta'ala ke liye sajda karta hai, Allah Ta'ala uski wajah se zaroor ek neki likh dete hain, ek gunah mu'af farmaadete hain aur ek darja buland kardete hain. Lihaaza khoob kasrat se sajde kiya karo (yani Namaaz padha karo). (Ibne Maaja: 1424)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

10 NOV (Aaj Ki Hadees) - Sajde Ki Haalat Mein Apne Rabb Ke Sabse Zyaada Qareeb Hota Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Banda Namaaz ke dauraan sajde ki haalat mein apne Rabb ke sabse zyaada qareeb hota hai, lihaaza (us haalat mein) khoob dua'ein kiya karo. (Muslim: 1083)
 
Faida: Nafil Namaazon ke sajdon mein khaas taur par duaa'on ka ehtemaam karna chahiye.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

09 NOV (Aaj Ki Hadees) - Ibne Aadam Sajde Ki Aayat Tilaawat Karke Sajda Karleta Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab Ibne Aadam sajde ki Aayat tilaawat karke sajda karleta hai, to shaitaan rota hua ek taraf hatt jaata hai aur kehta hai, haaye afsos! Ibne Aadam ko sajda karne ka hukm diya gaya aur usne sajda kiya to wo jannat ka mustahiq ho gaya aur mujhe sajda karne ka hukm diya gaya aur maine sajde se inkaar kiya to main jahannam ka mustahiq ho gaya. (Muslim: 244)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

08 NOV (Aaj Ki Hadees) - Jo Kisi Doosre Ki Cheez Ka Khud Ke Liye Da'awa Kare Woh Ham Mein Se Nahin

Aaj Ki Hadees
مَنِ ادَّعَى مَا ليْسَ لَهُ فَلَيْسَ مِنَّا
 
Manidda-'aa Maa Laisa Lahoo Falaisa Minnaa

Tarjama: Jo Kisi Doosre Ki Cheez Ka Khud Ke Liye Da'awa Kare Woh Ham (Musalmaanon) Mein Se Nahin.

(Muslim: 217)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

07 NOV (Aaj Ki Hadees) - Sadqa Maal Ko Kam Nahin Karta

Aaj Ki Hadees
مَا نَقَصَتْ صَدَقَةٌ مِنْ مَّالٍ
 
Maa Naqasat Sadaqatum Mimmaal

Tarjama: Sadqa Maal Ko Kam Nahin Karta.

(Muslim: 6592)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

06 NOV (Aaj Ki Hadees) - Chugal khor Jannat mein daakhil nahin hoga

Aaj Ki Hadees
لَا يَدْخُلُ الْجَنَّةَ نَمَّامٌ
 
Laa yadkhulul jannata nammaam

Tarjama: Chugal khor Jannat mein daakhil nahin hoga.

(Muslim: 290)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

05 NOV (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala Paak Hain, Paaki Ko Pasand Karte Hain

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala paak hain, paaki ko pasand karte hain, woh saaf suthre hain aur safaai suthraai ko pasand karte hain, woh karam karne waale hain aur karam ko pasand karte hain, woh nihaayat hi sakhi hain aur sakhaawat ko pasand karte hain, tum apne sehnon ko saaf suthra rakho aur yahoodiyon ki mushaabahat ikhtiyaar na karo. (Tirmizi: 2799)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

04 NOV (Aaj Ki Hadees) - Paaki Aadha Imaan Hai

Aaj Ki Hadees
اَلطُّهُوْرُ شَطْرُ الْإِيْمَانِ
 
Attuhooru shatrul Imaan

Tarjama: Paaki Aadha Imaan Hai.

(Muslim: 534)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

03 NOV (Aaj Ki Hadees) - Aib Waali Cheez Kisi Ke Haath Farokht Ki

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne koi aib waali cheez kisi ke haath farokht ki aur khareedaar ko woh aib batla nahin diya to us par hamesha Allah ka gazab rahega. Aur Allah ke farishte hamesha us par laanat karte raheinge. (Ibne Maaja: 2247)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

02 NOV (Aaj Ki Hadees) - Mujhe Hukm Diya Gaya Hai Ke Main Guftagu Mein Ikhtesaar Ikhtiyaar Karoon

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Mujhe hukm diya gaya hai ke main guftagu mein ikhtesaar ikhtiyaar karoon, kyunke ikhtesaar behtar hai. (Abu Dawud: 5008)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

01 NOV (Aaj Ki Hadees) - Kisi Ne Koi Ehsaan Kiya Aur Us Ne Ehsaan Karne Waalon Ko Yeh Dua Di

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Jis aadmi par kisi ne koi ehsaan kiya aur us ne ehsaan karne waalon ko yeh dua di: "Jazaakallaahu Khairaa" (yaani Allah Ta'ala aap ko is ka behtar badla ataa farmaaye), to us ne us shakhs ki poori taareef kar di. (Tirmizi: 2035)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp