31 DEC (Aaj Ki Hadees) - Allah Ki Qasam Woh Shakhs Momin Nahin!

Aaj Ki Hadees
Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Allah ki qasam woh shakhs momin nahin! Allah ki qasam woh shakhs momin nahin! Allah ki qasam woh shakhs momin nahin! kisi ne poochha: Aye Allah ke Rasool! Kaun shakhs momin nahin? Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Woh shakhs jis ki takleef wa sharaarat se us ka padosi mahfooz na ho. (Bukhari: 6016)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

30 DEC (Aaj Ki Hadees) - Khudkushi

Aaj Ki Hadees
Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne pahaad se gir kar khudkushi ki woh hamesha hamesh Jahannam ki aag mein (pahaad se) girta rahega aur jis ne zahar pi kar khudkushi ki, us ka zahar us ke haath mein hoga aur woh hamesha hamesh Jahannam ki aag mein us ko peeta rahega aur jis ne kisi lohe ke zariye khudkushi ki, to us ke haath mein loha hoga, jise woh hamesha hamesh Jahannam ki aag mein apne pet mein ghonpta rahega. (Bukhaari: 5778)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

29 DEC (Aaj Ki Hadees) - Aye Logo! Salaam Ko Khoob Phailaao

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Aye Logo! Salaam Ko Khoob Phailaao, Garibon Ko Khaana Khilaaya Karo, Raat Ko Jab Log So Rahe Hon, To Tum Namaaz Padha Karo, (In Baaton Se) Tum Salaamti Ke Saath Jannat Me Daakhil Ho Jaaoge. (TIRMIZI: 2485)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

28 DEC (Aaj Ki Hadees) - Har Ummat Ke Liye Ek Fitna Hota Hai Aur Meri Ummat Ka Fitna Maal Hai

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Har ummat ke liye ek fitna (aazmaish) hota hai aur meri ummat ka fitna maal hai. (Tirmizi: 2336)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

27 DEC (Aaj Ki Hadees) - Farishte Kisi Aise Ghar Mein Daakhil Nahin Hote Hain

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Farishte kisi aise ghar mein daakhil nahin hote hain, jis mein kutta ya tasaaweer hon. (Bukhaari: 5949)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

26 DEC (Aaj Ki Hadees) - Har Tasweer Banaane Waala Jahannam Mein Hoga

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Har tasweer banaane waala Jahannam mein hoga, us ne jo bhi tasweer banaai hogi, us ko ek jaandaar cheez bana di jaayegi, jo Jahannam mein us shakhs ko azaab degi. (Muslim: 5540)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

25 DEC (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala Ke Nazdeek Sab Se Ziyaada Azaab Tasweer Banaane Waalon Ko Hoga

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ke nazdeek sab se ziyaada azaab tasweer banaane waalon ko hoga. (Bukhaari: 5950)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

24 DEC (Aaj Ki Hadees) - Qarz Ko Maaf Kar Do, Ummeed Hai Ke Allah Ham Ko Bhi Maaf Kar Dega

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Ek taajir logon ko qarz diya karta tha, phir jab yeh dekhta ke koi majboor hai, to apne aadmiyon se kehta ke us ke qarz ko maaf kar do, ummeed hai ke Allah ham ko bhi maaf kar dega (jab woh mar gaya) to Allah Ta'ala ne us ki magfirat farma di. (Bukhari: 2078)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

23 DEC (Aaj Ki Hadees) - Qarz Ka Badla Ye Hai Ke Ada Kiya Jaaye Aur Tareef Aur Shukr Adaa Kiya Jaaye

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Abi Rabiya Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne mujhse chaalees hazaar qarz liya. Phir Aap ﷺ ke paas maal aaya to Aap ﷺ ne mujhe ataa farma diya aur saath hi mujhe dua dete hue irshaad famaaya: Allah Ta'ala tumhare ahl-o-ayal aur maal mein barkat de. Qarz ka badla ye hai ke ada kiya jaaye aur (qarz dene waale ki) tareef aur shukr adaa kiya jaaye. (Nisai: 4687)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

22 DEC (Aaj Ki Hadees) - Tum Mein Se Behtar Log Wo Hain Jo Qarz Ki Adaayegi Mein Behtar Hon

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne ek ount qarz kiya. Phir Aap ﷺ ne qarze ki adaayegi mein usse badi umr waala ount diya aur irshaad farmaaya: Tum mein se behtar log wo hain jo qarz ki adaayegi mein behtar hon. (Muslim: 4111)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

21 DEC (Aaj Ki Hadees) - Qarz Ki Adaayegi

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Rasoolullaah ﷺ ka irshaad naqal farmate hain ke agar mere paas uhad pahad jitna bhi sona ho, to mujhe ismein khushi hogi ke teen din bhi mujh par is haal mein na guzrein ke usme se mere paas kuch bhi baaqi bache, siwaye us maamuli raqm ke jo main qarz ki adaayegi keliye rakhloon. (Bukhari: 2389)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

20 DEC (Aaj Ki Hadees) - Qarz Ke Alawa Shaheed Ke Saare Gunah Maaf Kar Diye Jaayeingey

Aaj Ki Hadees
Hazrat 'Abdullah Bin 'Amr Bin 'Aas Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Qarz ke alawa shaheed ke saare gunah maaf kar diye jaayeingey. (Muslim: 4883)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

19 DEC (Aaj Ki Hadees) - Momin Ki Rooh Iske Qarze Ki Waajah Se Latki Rahti Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin ki rooh iske qarze ki waajah se latki rahti hai (raahat wa rahmat ki is manzil tak nahi pahunchti, jiska nek logon se waada hai) jab tak ke iska qarza na adaa kar diya jaaye. (Tirmizi: 1079)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

18 DEC (Aaj Ki Hadees) - Shirk, Zina Wagahaira Ke Baad Jinse Allah Ta'ala Ne Sakhti Se Mana Farmaaya Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Musa Al-Ashari Raziyallahu Anhu Rasulullah ﷺ ka irshaad naqal karte hain ke un kabeera gunaahon (shirk, zina wagahaira) ke baad jinse Allah Ta'ala ne sakhti se mana farmaaya hai, sabse bada gunah ye hai ke aadmi is haal mein mare ke us par qarz ho aur usne adayegi ka intezaam na kiya ho. (Abu Dawud: 3342)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

17 DEC (Aaj Ki Hadees) - Qarz Ki Adaayegi Par Taaqat Rakhne Ke Baawajood Taal Matol Karna

Aaj Ki Hadees
Rasoolullaah ﷺ ne farmaaya: Qarz ki adaayegi par taaqat rakhne ke baawajood taal matol karna zulm hai. (Bukhari: 2400)
 
Faida: Agar kisi ne qarz le rakha hai aur us ke paas qarz adaa karne ke liye maal hai. To phir qarz adaa karna zaroori hai, taal matol karna jaaiz nahin hai.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

16 DEC (Aaj Ki Hadees) - Jis Aadmi Ne Kisi Se Qarz Liya, Phir Us Ki Niyyat Qarz Adaa Karne Ki Na Ho

Aaj Ki Hadees
Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis aadmi ne kisi se qarz liya, phir us ki niyyat qarz ada karne ki na ho (aur na hi us ne zindagi mein qarz ada kiya), to woh Allah se chor hone ki haalat mein milega. (Ibne Maaja: 2410)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

15 DEC (Aaj Ki Hadees) - Jo Shakhs Logon Se Maal (Udhaar) Le Aur Uski Niyyat Ada Karne Ki Ho

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs logon se maal (udhaar) le aur uski niyyat ada karne ki ho, to Allah Ta'ala uski taraf se adaa kar deingey aur jo shakhs kisi se (udhaar) le uska iraada hi adaa na karne ka ho to Allah Ta'ala iske maal ko zaaye kar deingey. (Bukhari: 2387)
 
Faida: "Allah Ta'ala uski taraf se adaa kar deingey" ka matlab ye hai ki Allah Ta'ala udhaar ki adaayegi mein uski madad farmaayeingey aur agar zindagi mein adaa na kar saka to aakhirat mein uski taraf se adaa farma deingey. "Allah Ta'ala uske maal ko zaaye kar deingey" ka matlab ye hai ki buri niyyat ki wajah se use jaani ya maali nuqsaan utha na padega. (Fath-ul-Bari)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

14 DEC (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala Maqrooz Ke Saath Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat 'Abdullah Bin Jaafar Raziyallahu Anhuma riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala maqrooz ke saath hai, yahan tak ke woh apna qarza adaa kare basharte ke ye qarz kisi aise kaam ke liye na liya gaya ho jo Allah Ta'ala ko napasand hai. (Ibne Maaja: 2409)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

13 DEC (Aaj Ki Hadees) - Jis Shakhs Ne Allah Ta'ala Hi Keliye Kisi Se Muhabbat Ki

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Umama (Raziyallahu Anhu) se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne Allah Ta'ala hi keliye kisi se Muhabbat ki aur usi keliye dushmani ki aur (jis ko diya) Allah Ta'ala hi keliye diya aur (jis ko nahi diya) Allah Ta'ala hi keliye nahi diya to us ne Imaan ki takmeel karli. (Abu Dawud: 4681)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

12 DEC (Aaj Ki Hadees) - Qabr Aakhirat Ki Manzilon Mein Se Pehli Manzil Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Usman Raziyallahu 'anhu ke Aazaad karda ghulam Hazrat Haani Rahimahullahu farmate hain ke Hazrat Usman (Raziyallahu 'anhu) jab kisi qabr ke paas khadhe hote to bahut rote yahan tak ke aansuon se apni dadhi ko tar kar dete. Unse arz kiya gaya (ye kya baat hai) ke aap Jannat wa Dozakh ke tazkire par nahi rote aur qabr ko dekhkar is qadr rote hain? Aap ne farmaaya ke Rasullulah ﷺ ne irshaad farmaaya: Qabr aakhirat ki manzilon mein se pehli manzil hai agar banda is se najaat pa gaya to aage ki manzilein isse zyaada aasaan hain, aur agar is manzil se najaat na pa saka to baad ki manzilein usse zyaada sakht hain (neez) Rasullulah ﷺ ne ye irshaad farmaaya maine koi manzar qabr ke manzar se zyaada khaufnaak nahi dekha. (Tirmizi: 2308)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

11 DEC (Aaj Ki Hadees) - Musalmaan Ko Gaali Dena Be-deeni Hai Aur Qatl Karna Kufr Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Musalmaan ko gaali dena be-deeni hai aur qatl karna kufr hai. (Bukhari: 6044)
 
Faida: Jo Musalmaan kisi Musalmaan ko qatl karta hai wo apne Islam ke kaamil hone ki nafi karta hai aur Mumkin hai ke qatl karna kufr par marne ka sabab bhi banjaye. (Mazaahire Haq)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

10 DEC (Aaj Ki Hadees) - Jo shakhs ham par hathiyaar uthaaye wo ham mein se nahi

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs ham par hathiyaar uthaaye wo ham mein se nahi. (Muslim: 280)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

09 DEC (Aaj Ki Hadees) - Mashgool Hone Se Pehle Nek Aamaal Mein Jaldi Kiya Karo

Aaj Ki Hadees
Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Mashgool hone se pehle nek aamaal mein jaldi kiya karo. (Ibne Maaja: 1081)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

08 DEC (Aaj Ki Hadees) - Aese Shakhs Ki Bad Du'aa Se Bacho, Jis Par Zulm Kiya Gaya Hai

Aaj Ki Hadees
Rasulullaah ﷺ ne farmaaya: Aese shakhs ki bad du'aa se bacho, jis par zulm kiya gaya hai, is liye ke us ki bad du'aa aur Allah ke darmiyaan koi aad (pardah) nahin hoti hai. (Tirmizi: 2014)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

07 DEC (Aaj Ki Hadees) - Jis Ne Qible Ki Taraf Thooka

Aaj Ki Hadees
Rasulullaah ﷺ ne farmaaya: Jis ne qible ki taraf thooka to woh Qayaamat ke din is haal me aayega keh woh thook us ki donon aankhon ke darmiyaan hoga. (Abu Dawood: 3824)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

06 DEC (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala Ko Sab Jagahon Se Zyaada Mehboob Masajid Hain

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ko sab jagahon se zyaada mehboob masajid hain aur sabse zyaada naapasand jagahein baazaar hain. (Muslim: 1528)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp