31 JAN (Aaj Ki Hadees) - Jab Koi Shakhs Apni Koi Baat Kahe Aur Phir Idhar Udhar Dekhe

Aaj Ki Hadees
Hazrat Jabir Bin Abdullah Raziyallahu Anhuma riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab koi shakhs apni koi baat kahe aur phir idhar udhar dekhe to wo baat amaanat hai. (Abu Dawud: 4868)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

30 JAN (Aaj Ki Hadees) - Jis Se Kisi Muaamle Mein Mashwara Kiya Jaye

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis se kisi muaamle mein mashwara kiya jaye us muaamle mein us par bharosa kiya gaya hai (lihaaza use chahiye ki mashwara lene waale ka raaz zaahir na kare aur wahi mashwara de jo mashwara lene waale ke liye zyaada mufeed ho). (Tirmizi: 2822)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

29 JAN (Aaj Ki Hadees) - Jo Shakhs Apni Qaum Ki Nahaq Madad Karta Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Masud Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs apni qaum ki nahaq madad karta hai wo us ount ki tarah hai jo kisi kunwe mein gir gaya ho aur usko dum se pakad kar nikaala jaa raha ho. (Abu Dawud: 5117)
 
Faida: Matlab ye hai ke jis tarah kunwe mein gire hue ount ko dum se pakad kar nikaalne ki koshish karna apne aapko befaida mushaqqat mein daalna hai, kyunke is tareeqe se ount ko kunwe se nahi nikala jaasakta isi tarah qaum ki nahaq madad karna bhi befaida hai, kyunke is tareeqe se qaum ko sahi raaste par nahin daala jaasakta. (Bazl-ul-Majhud)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

28 JAN (Aaj Ki Hadees) - Kaun Se Musalmaan Ka Islam Afzal Hai?

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Musa Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya: Ya Rasulullah kaun se musalmaan ka Islam afzal hai? Irshaad farmaaya: Jis (musalmaan) ki zubaan aur haath se dusre musalmaan mehfooz rahein. (Bukhari: 11)
 
Faida: Zuban se takleef pahunchane mein kisi ka mazaaq udana, tohmat lagana, bura bhala kehna aur haath se takleef pahunchane mein kisi ko nahaq maarna, kisi ka maal zulman lena waghaira umoor shaamil hain. (Fath-ul-Bari)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

27 JAN (Aaj Ki Hadees) - Musalmaan Wo Hai Jiski Zubaan Aur Haath Se Musalmaan Mehfooz Rahein

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Amr Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Musalmaan wo hai jiski zubaan aur haath se musalmaan mehfooz rahein. Aur Muhajir (yani chordne waala) wo hai jo un tamaam kaamon ko chord de, jisse Allah Ta'ala ne roka hai. (Bukhari: 10)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

26 JAN (Aaj Ki Hadees) - Wo Shakhs Jannat Mein Daakhil Na Ho Sakega

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Wo shakhs jannat mein daakhil na ho sakega jiski shararaton se uska padosi mehfooz na ho. (Muslim: 172)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Quran Ka Paigham - 9: Be-Mauqa Maal Udaane Waale Shaitaanon Ke Bhai Hain

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): 

Quraabatdaar (rishtedaar) ko us ka haq dete rehna aur mohtaaj aur musaafiron ko bhi dete rehna aur (maal ko) bemauqa mat udaana, (kiyun ke) beshak bemauqa (maal) udaane waale shaitaanon ke bhaai hain aur shaitaan apne Rab ka bada naashukra hai. 

(Sura-e-Isra: 26,27)
Share on: WhatsApp

25 JAN (Aaj Ki Hadees) - Tum Log Bachchon Ko Pyaar Karte Ho?

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se riwaayat hai Ke ek dehaat ke rehne waale shakhs Nabi Kareem ﷺ ki khidmat mein haazir hue aur kaha ke tum log bachchon ko pyaar karte ho ? hum to inko pyaar nahin karte. Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Agar Allah Ta'ala ne tumhare dil se rehmat ka ma'adda nikaal diya hai to isme mera kya ikhtiyaar hai. (Bukhari: 5998)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

24 JAN (Aaj Ki Hadees) - Aulaad Ko Achchhi Taaleem Wa Tarbiyat Se Behtar Koi Tohfa Nahin Diya

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayyub Rahimahullah apne waalid se aur wo apne dada se riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Kisi baap ne apni aulaad ko achchhi taaleem wa tarbiyat se behtar koi tohfa nahin diya. (Tirmizi: 1952)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

23 JAN (Aaj Ki Hadees) - Jis Shakhs Ki Teen Betiyaan Ya Teen Behnein Hon

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Sayeed Khudri Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ki teen betiyaan ya teen behnein hon ya do betiyaan ya do behnein hon aur wo unke saath achchha muaamla rakhe aur unke huqooq ke bare mein Allah Ta'ala se darta rahe to uske liye jannat hai. (Tirmizi: 1916)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

22 JAN (Aaj Ki Hadees) - Jisko Hadiye Ke Taur Par Khushbu Daar Phool Pesh Kiya Jaye

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jisko hadiye ke taur par khushbu daar phool pesh kiya jaye to use chahiye ke wo ise rad na kare, kyunke wo bahut halki aur kam qeemat cheez hai aur uski khushbu bhi achchhi hoti hai. (Muslim: 5883)
 
Faida: Phool jaisi kam qeemat cheez ko qubool karne se agar inkaar kiya jaye to iska bhi andesha hai ke pesh karne waale ko khayaal ho ke meri cheez kam qeemat hone ki wajah se qubool nahi ki gayi aur isse uski dilshikni ho. (Maariful Hadees)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Quran Ka Paigham - 8: Zina Ke Qareeb Bhi Na Phatko


Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjuma): Khabardaar zina ke qareeb bhi na phatko. Beshak zina badi behayaai aur buraai ka raasta hai.

(Sura-e-Bani Israel: 32)

Share on: WhatsApp

21 JAN (Aaj Ki Hadees) - Jo Shakhs Logon Ka Shukar Guzaar Nahi Hota

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs logon ka shukar guzaar nahi hota, wo Allah Ta'ala ka bhi shukar adaa nahi karta. (Tirmizi: 1954)
 
Faida: Baaz shaarheen ne Hadees ka ye matlab bayan kiya hai ke jo ehsaan karne waale bandon ka shukar guzaar nahi hota wo na shukri ki is aadat ki wajah se Allah Ta'ala ka shukar guzaar bhi nahi hota.


Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Quran Ka Paigham - 7: Jo Koi Shakhs Islam Ke Siwa Koi Aur Deen Ikhtiyaar Karna Chaahega

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjuma):

Jo koi shakhs Islam ke siwa koi aur Deen ikhtiyaar karna chaahega, to us se woh Deen qubool nahin kiya jaayega aur aakhirat mein un logon mein shaamil hoga jo sakht nuqsaan uthhaane waale hain.

(Surah Aal-e-Imran: 85)

Share on: WhatsApp

20 JAN (Aaj Ki Hadees) - Main Aur Yateem Ki Kifaalat Karne Waala Jannat Mein Is Tarah (Qareeb) Honge

Aaj Ki Hadees
Hazrat Sahl Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Main aur yateem ki kifaalat karne waala jannat mein is tarah (qareeb) honge, Nabi Kareem ﷺ ne shahadat ki aur beech ki ungli se ishaara farmaaya aur un donon ke darmiyaan thodi si kushadgi rakhi. (Bukhari: 5304)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Quran Ka Paigham - 6: Jo Amal Tum Allah Ta'ala Ke Paas Bhej Doge Woh Hamesha Baaqi Rahega

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjuma): Jo kuch tumhare paas duniya mein hai woh ek din khatm hojayega aur jo amal tum Allah Ta'ala ke paas bhej doge woh hamesha baaqi rahega.

(Surah An-Nahl 16: 96)

Share on: WhatsApp

19 JAN (Aaj Ki Hadees) - Mazdoor Ka Pasina Khushk Hone Se Pehle Us Ki Mazdoori De Diya Karo

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu Anhuma riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Mazdoor ka pasina khushk hone se pehle us ki mazdoori de diya karo. (Ibne Majah: 2443)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Quran Ka Paigham - 5: Tum Nek Kaamon Mein Ek Doosre Se Aage Badhne Ki Koshish Karo

Quran mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjuma): Tum nek kaamon mein ek doosre se aage badhne ki koshish karo.

(Sura-e-Baqarah: 148)

Share on: WhatsApp

18 JAN (Aaj Ki Hadees) - Momin Mard Ki Ye Shaan Nahin Ke Apni Momina Biwi Se Bughz Rakhe

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Momin mard ki ye shaan nahin ke apni momina biwi se bughz rakhe. Agar uski ek aadat use na pasand hogi to dusri pasandida bhi hogi. (Muslim: 3645)
 
Faida: Rasulullah ﷺ ne is Hadees-e-shareef mein husn-e-muasharat ke ek mukhtasar usool bata diya ke ek insaan mein agar koi buri aadat hai to us mein kuch khoobiyan bhi hongi, aisa kaun hoga jis mein koi burayi na ho ya koi khoobi na ho. Lihaaza buraiyon se chashm poshi ki jaye aur khoobiyon ko dekha jaye.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Quran Ka Paigham - 4: Allah Ta'ala Tumhare Saath Hai Jahan Kahin Tum Ho

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjuma): Aur Allah Ta'ala tumhare saath hai jahan kahin tum ho.

(Surah Al-Hadid: 4)

Share on: WhatsApp

17 JAN (Aaj Ki Hadees) - Agar Main Kisi Ko Kisi Ke Saamne Sajda Karne Ka Hukm Deta

Aaj Ki Hadees
Hazrat Qais Bin Saad Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Agar main kisi ko kisi ke saamne sajda karne ka hukm deta, to aurton ko hukm deta ke wo apne shohron ko sajda karein us haq ki wajah se jo Allah Ta'ala ne unke shohron ka un par muqarrar farmaaya hai. (Abu Dawood: 2140)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Quran Ka Paigham - 3: Allah Ne Insaan Ko Paida Farmaaya, Use Bayaan Sikhaaya

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjuma): Allah ne insaan ko paida farmaaya, use bayaan sikhaaya.

(Sura-e-Rahmaan: 3,4)

Share on: WhatsApp

16 JAN (Aaj Ki Hadees) - Jis Aurat Ka Is Haal Mein Inteqaal Ho Ke Uska Shohar Usse Raazi Ho To Wo Jannat Mein Jayegi

Aaj Ki Hadees
Hazrat Umme Salamah Raziyallahu Anha riwaayat karti hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis aurat ka is haal mein inteqaal ho ke uska shohar usse raazi ho to wo jannat mein jayegi. (Tirmizi: 1161)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Quran Ka Paigham - 2: Qur'an Ko Naseehat Haasil Karne Keliye Aasaan Kar Diya

Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjuma):

Aur hum ne Qur'an ko naseehat haasil karne keliye aasaan kar diya hai, to koyi hai naseehat haasil karne waala. 

(Al Qamar: 22)

Share on: WhatsApp

15 JAN (Aaj Ki Hadees) - Bewa Aurat Aur Miskeen Ki Zarurat Mein Daudh Dhoop Karne Waale Ka Sawaab

Aaj Ki Hadees
Hazrat Safwan Bin Sulaimm Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaya: Bewa aurat aur miskeen ki zarurat mein daudh dhoop karne waale ka sawaab Allah Ta'ala ke raaste mein jihaad karne waale ke sawaab ki tarah hai ya uska sawaab us shakhs ke sawaab ki tarah hai jo din ko roza rakhta ho aur raat bhar ibaadat karta ho. (Bukhari: 6006)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Quran Ka Paigham - 1: Tum Logon Se Achchhi Baat Kaho

Quran Ka Paigham - 1

 Quran (Tarjuma): Aur tum logon se achchhi baat kaho. 

(Surah-e-Baqarah: 83)

Share on: WhatsApp

14 JAN Hadees - Jo Shakhs Is Baat Ko Pasand Karta Ho Ke Log Us (Ki Ta'zeem) Ke Liye Khade Rahein

Aaj Ki Hadees
Hazrat Muawiyah Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Jo shakhs is baat ko pasand karta ho ke log us (ki ta'zeem) ke liye khade rahein, wo apna thikana jahannam mein banale. (Tirmizi: 2755)
 
Faida: Is waeed ka taa'lluq us surat se hai ke jab koi aadmi khud ye chaahe ke log uski ta'zeem keliye khade hon, lekin agar koi khud bilkul na chaahe, magar dusre log ikraam aur mohabbat ke jazbe mein uske liye khade hojayein, to ye aur baat hai. (Maariful Hadees)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

13 JAN (Aaj Ki Hadees) - Mere Husn-e-Sulook Ka Sabse Zyaada Mustahiq Kaun Hai?

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke ek shakhs ne Rasulullah ﷺ ki khidmat mein haazir hokar daryaft kiya: Mere husn-e-sulook ka sabse zyaada mustahiq kaun hai? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Tumhari Maa. Usne poocha phir kaun? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Tumhari Maa usne poocha phir kaun? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Tumhari Maa usne poocha phir kaun? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Phir tumhara Baap. (Bukhari: 5971)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

12 JAN (Aaj Ki Hadees) - Tum Logon Ke Uyoob Talash Karoge To Tum Unko Bigaad Doge

Aaj Ki Hadees
Hazrat Muawiyah Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Agar tum logon ke uyoob talash karoge to tum unko bigaad doge. (Abu Dawood: 4888)
 
Faida: Matlab ye hai ke logon mein uyoob ko talash karne se un mein nafrat, bughz aur bahut si buraiyan paida hongi aur mumkin hai ke logon ke uyoob talash karne aur unhein phailane se wo log zid mein gunahon par jur'aat karne lagein ye saari baatein un mein mazeed bigaad ka sabab hongi. (Bazhl-ul-Majhud)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp