11 AUG (Aaj Ki Hadees) - Duniya ki qadr wa qeemat

Aaj Ki Hadees
Hazrat Sahl ibne Sa'd (Raziyallahu 'Anhu) Riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne Irshaad farmaaya: Agar Duniya ki qadr wa qeemat Allah Ta'ala ke Nazdeek ek Machchar ke par ke baraabar bhi hoti to Allah Ta'ala kisi Kaafir ko is mein se ek ghoont paani na pilaate (kyunke duniya ki qeemat Allah Ta'ala ke nazdeek itni bhi nahi hai isliye Kaafir faajir ko bhi duniya behisaab di hui hai. (Tirmizi: 2320)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

10 AUG (Aaj Ki Hadees) - Sila Rehmi

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah bin Amr (Raziyallahu 'Anhuma) se Riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne Irshaad farmaaya: Wo Shakhs Sila Rehmi karne waala nahi hai jo barabari ka muamla kare yaani dusre ke achcha bartao karne par usse achcha bartao kare balke Sila Rehmi karne waala to wo hai jo dusre ke Qata Rehmi karne par bhi Sila Rehmi kare. (Bukhari: 5991)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

09 AUG (Aaj Ki Hadees) - Jis Shakhs se Ilm ki koi baat poochi jaye

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah (Raziyallahu 'anhu) farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ne Irshaad farmaaya: Jis Shakhs se Ilm ki koi baat poochi jaye aur wo (baawajood jaanne ke) usko chupaye to Allah Ta'ala Qayamat ke din uske muh mein aag ki lagaam daleingey. (Abu Dawood: 3658)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

08 AUG (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala ke raaste mein ek subah ya ek shaam

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu 'anhu farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ke raaste mein ek subah ya ek shaam duniya wa maafeeha se bahter hai. (Bukhari: 6568)
 
Faida: Matlab ye hai ke duniya aur duniya mein jo kuch hai wo sab Allah Ta'ala ki raah mein kharch kardiya jaye tab bhi Allah Ta'ala ke raaste ki ek subah ya ek shaam isse zyaada ajar dilaane waali nahi. (Mirqa't)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

07 AUG (Aaj Ki Hadees) - Saadgi Imaan Ka Hissa Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Umamah Raziyallahu 'anhu farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ke Sahaaba ne ek din Aap ﷺ ke saamne duniya ka zikr kiya to Rasulullah ﷺ ne Irshaad farmaya: Ghaur se suno, dhiyaan do. Yaqeenan Saadgi Imaan ka hissa hai, Yaqeenan Saadgi Imaan ka hissa hai. (Abu Dawud: 4161)
 
Faida: Isse muraad takallufaat aur zaib wa zeenat ki cheezon ko chordna hai.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

06 AUG (Aaj Ki Hadees) - Momin Jo Logon Se Milta Julta Ho

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah bin Umar (Raziyallahu Anhuma) riwaayat karte hain ke Rasulullah (Salallahu 'Alaihi wa Sallam) ne Irshaad farmaaya: Wo Momin jo logon se milta julta ho aur unse pahunchne waali takleefon par sabr karta ho wo us momin se afzal hai Jo logon ke saath mail jol na rakhta ho aur unse pahunchne waali takleefon par sabr na karta ho. (Ibne Maaja: 4032)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

05 AUG (Aaj Ki Hadees) - Qur'aan Ke Zariye Allah Ta'ala Se Hi Sawaal Karna Chahiye

Aaj Ki Hadees
Hazrat Imran bin Hussain (Raziyallahu 'Anhuma) farmaate hain ke Maine Rasulullah (Salallahu Alaihi wa Sallam) ko ye Irshaad farmaate hue suna: Jo Shakhs Qur'aan Majeed padhe use Qur'aan ke zariye Allah Ta'ala se hi sawaal karna chahiye, anqareeb aise log aayeingey jo Qur'aan Majeed padheingey aur uske zariye logon se sawaal kareingey. (Tirmizi: 2917)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

04 AUG (Aaj Ki Hadees) - Hadees Bayaan Karne Mein Ehtiyaat Karo

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Ibn Abbas (Raziyallahu 'anhuma) se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Meri taraf nisbat karke Hadees bayaan karne mein ehtiyaat karo. Sirf usi Hadees ko bayan karo jiska hadees hona tumhe maloom ho. Jis shakhs ne jaan boojhkar meri taraf ghalat hadees mansoob ki use apna thikaana dozakh mein banalena chaahiye. Jis ne Qur'an-E-Kareem ki tafseer mein apni raaye se kuch kaha use apna thikaana dozakh mein bana lena chaahiye. (Tirmizi: 2951)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

03 AUG (Aaj Ki Hadees) - Teen Cheezon ko radd nahi karna chahiye

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Abdullah bin Umar (Raziyallahu 'Anhuma) riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne Irshaad farmaaya: Teen Cheezon ko radd nahi karna chahiye (yani koi de to inkaar nahi karna chahiye) Takiya, khushbu aur doodh. (Tirmizi: 2790)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

02 AUG (Aaj Ki Hadees) - Jis Shakhs Ne Lutmaar Ki Wo Hum Mein Se Nahi Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Imran Bin Husain (Raziyallahu Anhu) se riwayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne lutmaar ki wo hum mein se nahi hai. (Tirmizi: 1123)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

01 AUG (Aaj Ki Hadees) - Jo Shakhs Ghusse Ko Pee Jaye

Aaj Ki Hadees
Hadees: Hazrat Mu'az Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs ghusse ko pee jaye jabke us mein ghusse ke taqaaza ko pura karne ki taaqat bhi ho (lekin iske baawajood jis par ghussa hai usko koi saza na de) Allah Ta'ala Qayaamat ke din usko saari makhluq ke saamne bulayeingey aur usko ikhtiyaar deingey ki Jannat ki huroon mein se jis ko chaahe apne liye pasand karle. (Abu Dawud: 4777)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp