Hazrat Muawiyah Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Jo shakhs is baat ko pasand karta ho ke log us (ki ta'zeem) ke liye khade rahein, wo apna thikana jahannam mein banale. (Tirmizi: 2755)
Faida: Is waeed ka taa'lluq us surat se hai ke jab koi aadmi khud ye
chaahe ke log uski ta'zeem keliye khade hon, lekin agar koi khud bilkul
na chaahe, magar dusre log ikraam aur mohabbat ke jazbe mein uske liye
khade hojayein, to ye aur baat hai. (Maariful Hadees)
0 comments:
Post a Comment