Hazrat Anas raziyallahu 'anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Imaan ki halaawat usi ko naseeb hogi jis mein teen baatein payi jaayeingi. Ek ye ke Allah Ta'ala aur uske Rasool ki Mohabbat us ke dil mein sabse zyaada ho. Doosra ye ki jis shakhs se bhi mohabbat ho sirf Allah Ta'ala hi keliye ho. Teesra ye ke Imaan ke baad kufr ki taraf palatne se usko itni nafrat aur aisi azziat ho jaisi ki aag mein daale jaane se hoti hai. (Bukhari: 16)
0 comments:
Post a Comment