Huzoor (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ne farmaaya tum mere tareeqe aur mere hidaayat yaafta khulafaa-e-Raashideen ke tareeqe ko laazim pakdo, mazbooti ke saath us par jame raho aur daanton se us ko dabaaye rakho. (Abu Dawood: 4607)
☆ Sahaaba-e-Kiraam (Raziyallahu 'Anhum) is Ummat ke sab se afzal log
hain, woh hamaare rahbar aur rehnuma hain, un ki zindagi badi paakeeza
aur shareeat ke mutaabiq thi, Rasoolullah (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam)
jo hukm dete woh log fauran us ko baja laate, Islam ke khilaaf koi amal
un ko gawaarah na tha, agar koi kaam shareeat ke khilaaf dekhte to
fauran us par nakeer karte the. Sahaaba mein Hazrat Abu bakar
(Raziyallahu 'Anhu), Hazrat Umar (Raziyallahu 'Anhu), Hazrat Usman aur
Hazrat Ali (Raziyallahu 'Anhu) ka martaba bahot buland tha, yahi chaaron
Aap (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ke baad khaleefa bane, unhon ne apni
zimmedaariyan bade achchhe dhhang se nibhaayein, saltanat ka bahot
achchha intizaam kiya, Allah ke sachche Deen ko saari duniya mein
phailaane ki koshish ki, woh makhlooq ke saath shafqat narmi aur
hamdardi ka muaamla karte the, khud bhi Islam ke ek ek hukm par amal
karte aur doosron ko bhi amal karaate the, hamein chaahiye ke un ki
seeraton ko padhein taake hamein un ki zindagi ke haalaat maaloom hon
aur us ki rehnumaai mein zindagi guzaar sakein.
0 comments:
Post a Comment