Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala se uska fazal maango kyunke Allah Ta'ala ko ye baat pasand hai ke unse maanga jaye aur kushadgi (ki dua ke baad kushadgi) ka intezaar karna afzal ibaadat hai. (Tirmizi: 3571)
Faida: Kushadgi ke intezaar ka matlab ye hai ke is baat ki umeed
rakhi jaye ke jis rehmat, hidaayat, bhalayi keliye dua maangi jaa rahi
hai woh In Shaa Allah zaroor hasil hogi.
0 comments:
Post a Comment