Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu farmaate hain chand Sahaba Raziyallahu Anhum Rasulullah ﷺ ki khidmat mein haazir hue aur arz kiya: Hamare dilon mein baaz aise khayalat aate hain ke unko zubaan par laana hum bahot bura samjhte hain. Rasulullah ﷺ ne daryaft farmaaya: Kya waaqai tum un khayalat ko zubaan par laana bura samjhte ho? Arz kiya: ji haan! Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: yahi to imaan hai. (Muslim: 340)
Faida: Yani jab ye waswase wa khayalat tumhein itne pareshaan karte
hain ke un par yaqeen rakhna to door ki baat, un ko zubaan par laana bhi
tumhe gawaara nahi, to yahi to kamal-e-imaan ki nishaani hai. (Nawawi)
0 comments:
Post a Comment