Hazrat Ammaar Bin Yasir Raziyallahu Anhuma farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Aadmi Namaaz se faarigh hota hai aur uske liye sawaab ka daswaan hissa likha jaata hai isi tarah baaz keliye nauwaan, aatwaan, saatwaan, cheta, paanchwaan, chauthayee, tihayee, aadha hissa likha jaata hai. (Abu Dawud: 796)
Faida: Hadees Shareef se muraad ye hai ke jis qadar Namaaz ki zahiri
shakl aur anduruni kaifiyaatein sunnat ke mutaabiq hoti hain, utna hi
zyaada ajr wa sawaab milta hai. (Bazhl-ul-Majhud)
0 comments:
Post a Comment