Rasoolullah (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne irshaad farmaaya ke jis ne meri sunnat zinda ki us ne mujh se muhabbat ki aur jis ne mujh se muhabbat ki woh Jannat mein mere saath hoga. (Tirmizi: 2678)
Faida: Allah Ta'ala ke yahaan wahi amal maqbool hota hai jo Huzoor
(Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ke tareeqon ke mutaabiq ho. Lihaaza Huzoor
(Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ke tareeqon ko jaanna aur Aap
(Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ki batlaai hui duaaon, sunnaton aur aadaab
ko seekhna aur un par amal karna ummat ke har fard ke liye zaroori hai.
0 comments:
Post a Comment