Hazrat Jabir Bin Abdullah Raziyallahu Anhuma riwaayat karte hain ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Ulama par badaai jatane, bewaqufon se jhagadne yani naasamajh awaam se ulajhne aur majlisein jamane ke liye ilm hasil na karo. Jo shakhs aisa kare uske liye aag hai aag. (Ibn Majah: 254)
Faida: "Ilm ko majlisein jamane ke liye hasil na karo" is jumle ka
matlab ye hai ke ilm ke zariye se logon ko apni zaat ki taraf mutawajjeh
na karo.
0 comments:
Post a Comment