31 OCT (Aaj Ki Hadees) - Jis Shakhs Ko Hadiya Tohfa Diya Jaaye

Aaj Ki Hadees
Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Jis shakhs ko hadiya tohfa diya jaaye, to agar us ke paas badle mein dene ke liye kuchh maujood ho to woh us ko dede aur jis ke paas badle mein tohfa dene ke liye kuchh na ho, to woh (bataur shukriya ke) us ki taareef kare aur us ke haq mein Dua-e-Khair kahe. Jis ne aisa kiya us ne shukriya ka haq ada kar diya aur jis ne aisa nahin kiya aur ehsaan ke muaamle ko chhupaaya, to us ne naashukri ki. (Abu Dawud: 4813)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

30 OCT (Aaj Ki Hadees) - Allah Ki Taufeeq Se Sawaal Ki Zillat Wa Ruswaai Se Bacha Lena

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Tum mein se kisi (zarooratmand) aadmi ka rassi lekar jangal jaana aur lakdiyon ka ek gatthha apni kamar par laad kar laana aur us ko bechna aur is tarah apne aap ko Allah ki taufeeq se sawaal ki zillat wa ruswaai se bacha lena bahot behtar hai is se ke woh logon ke saamne haath phailaaye phir khwaah woh us ko dein ya na dein. (Bukhari: 1471)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

29 OCT (Aaj Ki Hadees) - Adl Wa Insaaf Ke Saath Hukoomat Karne Waale

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne irshaad farmaaya: Adl wa insaaf ke saath hukoomat karne waale Qayaamat ke din Allah ke nazdeek doosre sab logon se ziyaada pyaare aur mahboob honge aur un ko Allah Ta'ala se sab se ziyaada qurb hasil hoga. Aur zulm wa naainsaafi ke saath hukoomat karne waale Qayaamat ke din Allah ke nazdeek sab se ziyaada mabgooz honge aur Allah se door honge. (Tirmizi: 1329)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

28 OCT (Aaj Ki Hadees) - Huzoor ﷺ Ki Baat Juda Juda Hoti Thi, Jis Ko Har Sunne Waala Samjh Leta Tha

Aaj Ki Hadees
Hazrat Aaisha Raziyallahu Anha farmaati hain ke Huzoor ﷺ ki baat juda juda hoti thi, jis ko har sunne waala samjh leta tha. (Abu Dawud: 4839)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

27 OCT (Aaj Ki Hadees) - Tashahhud Is Tarah Sikhaate The, Jis Tarah Quran Ki Koi Surat Sikhaate The

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ibne Abbas Raziyallahu Anhuma farmaate hain ke Rasulullah ﷺ hamein Tashahhud is tarah sikhaate the, jis tarah Quran ki koi Surat sikhaate the. (Muslim: 903)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

26 OCT (Aaj Ki Hadees) - Aadmi Namaaz Se Faarigh Hota Hai Aur Uske Liye Sawaab Ka Daswaan Hissa...

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ammaar Bin Yasir Raziyallahu Anhuma farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Aadmi Namaaz se faarigh hota hai aur uske liye sawaab ka daswaan hissa likha jaata hai isi tarah baaz keliye nauwaan, aatwaan, saatwaan, cheta, paanchwaan, chauthayee, tihayee, aadha hissa likha jaata hai. (Abu Dawud: 796)
 
Faida: Hadees Shareef se muraad ye hai ke jis qadar Namaaz ki zahiri shakl aur anduruni kaifiyaatein sunnat ke mutaabiq hoti hain, utna hi zyaada ajr wa sawaab milta hai. (Bazhl-ul-Majhud)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

25 OCT (Aaj Ki Hadees) - Kya Main Shukr Guzaar Banda Na Banun ?

Aaj Ki Hadees
Hazrat Mughira Raziyallahu Anhu farmaate hain ke Nabi Kareem ﷺ (Namaaz mein itna lamba) qayaam farmaate ke Aap ﷺ ke paon Mubarak par waram aajaata. Aap ﷺ se arz kiya gaya ke Allah Ta'ala ne aapke agle pichle gunah (agar hon bhi to) mu'af farmadiye (phir Aap ﷺ itni mashaqqat kyun uthaate hain?) Irshaad farmaaya: Kya (is baat par) main shukr guzaar banda na banun ?. (Bukhari: 4836)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

24 OCT (Aaj Ki Hadees) - Pichle Saare Gunaah Mu'af Hojaate Hain

Aaj Ki Hadees
Hazrat Zaid bin Khalid Juhani Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs achchhi tarah wuzu karta hai, phir do rakaat is tarah padhta hai ke usmein kuch bhoolta nahin (yani Allah Ta'ala ki taraf poori tarah mutawajjeh rehta hai) to uske pichle saare gunaah mu'af hojaate hain. (Abu Dawud: 905)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

23 OCT (Aaj Ki Hadees) - Jannat Waajib Ho Jaati Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Uqba Bin 'Amir Juhani Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs bhi achchhi tarah wuzu karta hai, phir do rakatein is tarah padhta hai ke dil Namaaz ki taraf mutawajjeh rahe aur aazaa mein bhi sukoon ho, to uske liye yaqeenan Jannat waajib ho jaati hai. (Abu Dawud: 906)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

22 OCT (Aaj Ki Hadees) - Jo Log Namaaz Mein Aasmaan Ki Taraf Nazar Uthakar Dekhte Hain

Aaj Ki Hadees
Hazrat Jabir Bin Samura Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo log Namaaz mein aasmaan ki taraf nazar uthakar dekhte hain, wo baaz aajayein warna unki nigaahein upar ki upar hi reh jayeingi. (Muslim: 966)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

21 OCT (Aaj Ki Hadees) - Momin Ka Zewar

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine apne Habeeb ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Momin ka zewar Qayamat ke din wahan tak pahunchega jahan tak wuzu ka paani pahunchta hai (yani aaza ke jin hisson tak wazu ka paani pahunchega wahan tak zewar pehnaya jayega). (Muslim: 586)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

20 OCT (Aaj Ki Hadees) - Har Namaaz Ke Waqt Miswak Karne Ka Hukm Deta

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Agar mujhe ye khayaal na hota ke Meri ummat mashaqqat mein padh jayegi, to main unko har Namaaz ke waqt miswak karne ka hukm deta. (Muslim: 589)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

19 OCT (Aaj Ki Hadees) - Wazu Karne Se Pahle Miswak Zaroor Farmaate

Aaj Ki Hadees
Hazrat 'A'ishah Raziyallahu 'anha se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ din ya raat mein jab bhi sokar uthte, to wazu karne se pahle miswak zaroor farmaate. (Abu Dawud: 57)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

18 OCT (Aaj Ki Hadees) - Miswak Munh Ko Saaf Karne Waali Hai Aur Allah Ta'ala Ki Khushnudi...

Aaj Ki Hadees
Hazrat 'A'ishah Raziyallahu 'anha se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Miswak munh ko saaf karne waali hai aur Allah Ta'ala ki khushnudi ka zariya hai. (Nasai: 5)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

17 OCT (Aaj Ki Hadees) - Nabi Kareem ﷺ Jab Ghar Mein Tashreef Laate, To Sabse Pahle Kya Kaam Karte?

Aaj Ki Hadees
Hazrat Shuraih Rahmatullah Alaihi farmaate hain: Maine Ummul Momineen Hazrat 'A'ishah Raziyallahu 'anha se poocha ke Nabi Kareem ﷺ jab ghar mein tashreef laate, to sabse pahle kya kaam karte? Unhon ne farmaaya: Sabse pahle Aap miswak karte the. (Muslim: 590)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

16 OCT (Aaj Ki Hadees) - Miswak Se Apne Munh Ko Achchhi Tarah Ragad Kar Saaf Karte

Aaj Ki Hadees
Hazrat Huzaifa Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ jab Tahajjud keliye uthte to miswak se apne munh ko achchhi tarah ragad kar saaf karte. (Muslim: 593)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

15 OCT (Aaj Ki Hadees) - Islam Ye Hai Ke

Aaj Ki Hadees
Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Islam (ke arkaan mein se) ye hai ke (dil wa zaban se) tum ye shahadat adaa karo ke Allah Ta'ala ke siwa koi ilaah nahin (koi zaat ibaadat wa bandagi ke layaq nahin) aur yeh ke Muhammad ﷺ unke Rasool hain aur Namaaz ada karo, Zakaat adaa karo, Mahe Ramzaan ke roze rakho aur agar tum Haj ki taaqat rakhte ho, to Haj karo. (Muslim: 93)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

14 OCT (Aaj Ki Hadees) - Aise Shakhs Ke Hote Hue Qayamat Nahin Hogi Jo Allah Allah Kehta Ho

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Qayamat us waqt tak nahin aayegi, jab tak ke (aisa bura waqt na aajaye ke) duniya mein Allah Allah bilkul na kaha jaye. Ek aur Hadees mein is tarah hai ki kisi aise shakhs ke hote hue Qayamat nahin hogi jo Allah Allah Kehta ho. (Muslim: 375, 376)
 
Faida: Matlab ye hai ke Qayamat us waqt aayegi, jabke duniya Allah Ta'ala ki yaad se bilkul hi khaali ho jayegi. Is Hadees ka ye matlab bhi bayaan kiya gaya hai ke Qayamat us waqt tak qayam nahin hogi jab tak ke duniya mein aisa shakhs maujood ho jo ye kehta ho, logon! Allah Ta'ala se daro, Allah Ta'ala ki bandagi karo. (Mirqat)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

13 OCT (Aaj Ki Hadees) - Muhabbat Rakhne Waale Logon Mein Woh (bhi) Hain Jo Mere Baad Ayengey

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Meri Ummat mein mujhse zyaada Muhabbat rakhne waale logon mein woh (bhi) hain jo Mere baad aayengey, unki ye aarzoo hogi ke kaash woh apna ghar baar aur maal sab qurbaan karke kisi tarah mujhko dekh lete. (Muslim: 7145)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

12 OCT (Aaj Ki Hadees) - Fajr Ki Namaaz Se Pehle Do Raka'at Sunnat

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se riwaayat hai Ke Nabi Kareem ﷺ ko Nawaafil (aur Sunnaton) mein se kisi Namaaz ka itna zyaada ehtemaam na tha, jitna ki fajr ki Namaaz se pehle do raka'at sunnat padhne ka ehtemaam tha. (Muslim: 1686)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

11 OCT (Aaj Ki Hadees) - Ye Do Rakatein Mujhe Saari Duniya Se Zyaada Mehboob Hain

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se riwaayat hai Ke Nabi Kareem ﷺ ne fajr ki do raka'at sunnaton ke baare mein irshaad farmaaya: Ye do rakatein mujhe saari duniya se zyaada mehboob hain. (Muslim: 1689)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

10 OCT (Aaj Ki Hadees) - Nabi Kareem ﷺ Ne Ek Mauqe Par Hamein Paanch Baatein Irshaad Farmaayin

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Musa Asha'ri Raziyallahu Anhu riwaayat farmaate hain ke Nabi Kareem ﷺ ne ek mauqe par hamein paanch baatein irshaad farmaayin: 1. Allah Ta'ala na sote hain aur sona unki Shaan ke munasib (bhi) nahi, 2. Rozi ko kam aur kushada farmaate hain, 3. Unke paas raat ke aamaal din se pehle, 4. Aur Din ke aamaal raat se pehle pahunch jaate hain, 5. (Unke aur makhlooq ke darmiyaan) parda unka noor hai. Agar woh ye parda utha dein to jahan tak makhlooq ki nazar jaaye Unki Zaat ke anwaar sabko jala daalein. (Muslim: 445)
Share on: Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

09 OCT (Aaj Ki Hadees) - Qayamat kab aayegi?

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke ek shakhs ne Nabi Kareem ﷺ se poocha, Qayamat kab aayegi? Aap ne irshaad farmaaya: Qayamat keliye tumne kya tayyar kar rakha hai? Usne arz kiya: Maine Qayamat keliye na to zyaada (Nafli) Namaazein, na zyaada (Nafli) Roze tayyar kiya hai aur na zyaada Sadqa. Haan ek baat hai ke Allah Ta'ala aur Unke Rasool ﷺ se Muhabbat rakhta hoon. Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: To phir (Qayamat mein) tum unhin ke saath hoge jinse tumne (duniya mein) Muhabbat rakhi. (Bukhari: 6171)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

8 OCT Aaj Ki Hadees- Rasulullah ﷺ Jab Mayyat Ke Dafan Se Faarigh Ho Jaate To Qabr Ke Paas Khade Hote

Aaj Ki Hadees
Hazrat Usman Bin Affan Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ jab mayyat ke dafan se faarigh ho jaate to qabr ke paas khade hote aur irshaad farmaate ke apne bhai keliye Allah Ta'ala se maghfirat ki dua karo, aur ye maango ke Allah Ta'ala usko (sawaalon ke jawaab dene mein) saabit qadam rakhein, kyunke is waqt usse pooch-guchh ho rahi hai. (Abu Dawud: 3221)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

07 OCT (Aaj Ki Hadees) - Rasulullah ﷺ Ne Aakhri Wasiyat Ye Irshaad Farmaayi

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne aakhri wasiyat ye irshaad farmaayi: Namaaz, Namaaz. Apne ghulamon aur matehaton ke baare mein Allah Ta'ala se daro (yani unke huqooq ada karo). (Abu Dawud: 5156)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp