Rasulullah (Sallallahu-Alaihi-Wa-Sallam) ne farmaaya: Ek faqeeh (masaail ka jaanne waala) shaitaan par hazaar aabidon se ziyaada bhaari hai. (Tirmizi: 2681)
Ham musalmaan hain aur musalmaan ki zimmedaari hai ke apni zindagi
Allah ke hukmon aur Nabi-e-Kareem (Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ke
tareeqon ke mutaabiq guzaare, isi mein musalmaanon ki duniya aur
aakhirat ki kaamyaabi hai; aur Allah ke hukmon aur Nabi
(Sallallahu-'Alaihi-Wa-Sallam) ke tareeqon ko chhod kar zindagi guzaarne
mein naakaami hai. Lihaaza zindagi sahi tareeqe par guzaarne ke liye
masaail ka ilm haasil karna intihaai zaroori hai.
0 comments:
Post a Comment