Rasoolullaah (ﷺ) ne farmaaya: Farishte taalib-e-ilm se khush hone ki wajah se apne paron ko bichha dete hain. (Abu Daawood: 3641)
Ilm se badh kar duniya mein koi daulat nahin aur jahaalat se badh kar
duniya mein koi nuqsaan deh cheez nahi, Aalim aur jaahil donon baraabar
nahin ho sakte, ilm se insaan ko izzat-o-sharaafat aur kaamiyabi milti
hai, Jabke jahaalat ki wajah se insaan zaleel wa gumraah ho jaata hai,
ilm hi ke zariye apne khaaliq-o-maalik ki pehchaan hoti hai, bagair ilm
ke koi apne khaaliq-o-maalik ko nahin pehchaan sakta. Isi liye ummat ke
har fard par zaroorat ke baqadr Deen ka ilm haasil karna farz qaraar
diya gaya hai.
0 comments:
Post a Comment