30 SEP (Aaj Ki Hadees) - Takleefdeh Baat Sunkar Allah Se Zyaada Bardasht Karne Waala Koi Nahin Hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Takleefdeh baat sunkar Allah Ta'ala se zyaada bardasht karne waala koi nahin hai. Mushrikeen uske bete hone ka dawa karte hain aur phir bhi woh unhein aafiyat deta hai aur rozi ataa karta hai. (Bukhari: 7378)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

29 SEP (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala par bandon ka haq

Aaj Ki Hadees
Hazrat Mu'az Bin Jabal Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Mu'az ! tum jaante ho ke bandon par Allah Ta'ala ka kya haq hai ? aur Allah Ta'ala par bandon ka kya haq hai ? Maine arz kiya: Allah Ta'ala aur uske Rasool ziyaada jaante hain, Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Bandon par Allah Ta'ala ka haq ye hai ke uski ibaadat karein aur uske saath kisi ko shareek nakarein. Aur Allah Ta'ala par bandon ka haq ye hai ke jo banda uske saath kisi ko shareek na kare, use azaab na de. (Muslim: 144)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Hadees: Darood

 

Share Youtube Link on: WhatsApp

28 SEP (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala Qayamat ke din zameen ko apne qabze mein lengey

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu Nabi Kareem ﷺ se riwaayat karte hain ke Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala Qayamat ke din zameen ko apne qabze mein lengey aur aasmaan ko apne dahine haath mein lapeteingey, phir farmaayeingey ke main hi baadshah hoon, kahan hain zameen ke baadshah? (Bukhari: 7382)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Hadees: Dozakh Aur Nifaaq Se Baree

Share Youtube Link on: WhatsApp

27 SEP (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala se is haal me mile ke uske saath kisi ko shareek na tehrata ho

Aaj Ki Hadees
Hazrat Jabir Bin Abdullah Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmate hue suna: Jo shakhs Allah Ta'ala se is haal mein mile ke uske saath kisi ko shareek na tehrata ho, woh jannat mein daakhil hoga aur jo shakhs Allah Ta'ala se is haal mein mile ke woh uske saath kisi ko shareek tehrata ho, woh dozakh mein daakhil hoga. (Muslim: 270)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

26 SEP (Aaj Ki Hadees) - Jo shakhs Qayamat ke din "La ilaha illallah" ko is tarha se kehta hua aaye

Aaj Ki Hadees
Hazrat 'Itban Bin Malik Ansari Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs Qayamat ke din "La ilaha illallah" ko is tarha se kehta hua aaye ke is kalima ke zariye Allah Ta'ala hi ki razamandi chahta ho Allah Ta'ala uspar dozakh ki aag ko zaroor haraam farma deingey. (Bukhari: 6423)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

25 SEP (Aaj Ki Hadees) - Meri shafaat ka sabse zyaada nafaa uthaane waala

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Meri shafaat ka sabse zyaada nafaa uthaane waala woh shakhs hoga jo apne dil ke khuloos ke saath "La ilaha illallah" kahe. (Bukhari: 6570)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

24 SEP (Aaj Ki Hadees) - Hamare dilon mein baaz aise khayalat aate hain

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu farmaate hain chand Sahaba Raziyallahu Anhum Rasulullah ﷺ ki khidmat mein haazir hue aur arz kiya: Hamare dilon mein baaz aise khayalat aate hain ke unko zubaan par laana hum bahot bura samjhte hain. Rasulullah ﷺ ne daryaft farmaaya: Kya waaqai tum un khayalat ko zubaan par laana bura samjhte ho? Arz kiya: ji haan! Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: yahi to imaan hai. (Muslim: 340)
 
Faida: Yani jab ye waswase wa khayalat tumhein itne pareshaan karte hain ke un par yaqeen rakhna to door ki baat, un ko zubaan par laana bhi tumhe gawaara nahi, to yahi to kamal-e-imaan ki nishaani hai. (Nawawi)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

23 SEP (Aaj Ki Hadees) - Koi banda momin nahi ho sakta, jab tak chaar cheezon par Imaan na le aaye.

Aaj Ki Hadees
Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Koi banda momin nahi ho sakta, jab tak chaar cheezon par Imaan na le aaye.
 
1) Is baat ki gawahi de ke Allah Ta'ala ke siwa koi zaat ibaadat wa bandagi ke layaq nahin aur Main (Muhammad ﷺ ) Allah Ta'ala ka Rasool hoon, unhone mujhe haq dekar bheja hai,

2) Marne par Imaan laaye,

3) Marne ke baad dubaara uthaye jaane par Imaan laye,

4) Taqdeer par Imaan laye.

(Tirmizi: 2145)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

22 SEP (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala ne Meri ummat ke (un) waswason ko mu'af farma diya hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ne Meri ummat ke (un) waswason ko mu'af farma diya hai (jo Imaan aur yaqeen ke khilaaf ya gunah ke baare mein unke dil mein baghair ekhtiyaar ke aayein) jab tak ke woh in waswason ke mutabiq amal na karlein ya unko zuban par na layein. (Bukhari: 2528)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

21 SEP (Aaj Ki Hadees) - Jahannam Mein Daakhil Ho Ya Dozakh Ki Aag Is Ko Khaye

Aaj Ki Hadees
Hazrat Itbaan Bin Malik Raziyallahu 'Anhuma se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Aisa nahi ho sakta ke koi shakhs is baat ki gawahi de ke Allah Ta'ala ke siwaa koi ma'abood nahin aur Main (Muhammad ﷺ ) Allah Ta'ala ka Rasool hoon, phir woh jahannam mein daakhil ho ya dozakh ki aag is ko khaye. (Muslim: 149)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

20 SEP (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala Ke Siwaa Koi Ma'abood Nahi

Aaj Ki Hadees
Hazrat 'Usman Raziyallahu 'Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ki maut is haal mein aaye ke woh yaqeen ke saath jaanta ho ke Allah Ta'ala ke siwaa koi ma'abood nahi woh jannat mein daakhil hoga. (Muslim: 136)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

19 SEP (Aaj Ki Hadees) - Jannat Mein Sirf Imaan Waale Hi Daakhil Hongey

Aaj Ki Hadees
Hazrat Umar Raziyallahu 'Anhu se riwaayat hai ke Nabi-e-Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Khattaab ke bete! Jao, logon mein yeh elaan kardo ke Jannat mein sirf Imaan waale hi daakhil hongey. (Muslim: 309)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

18 SEP (Aaj Ki Hadees) - Imaan Ki Sattar Se Zyaada Shaakhein Hain

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Imaan ki sattar se zyaada shaakhein hain. In mein sab se afzal shaaq "Laa ilaha illallah ka kahna hai" aur adna shaaq taklif dene waali cheezon ka raaste se hataana hai aur haya imaan ki ek (ahem) shaaq hai. (Muslim: 153)
 
Faida: Haya ki haqeeqat ye hai ke woh insaan ko ghalat kaam se bachne par aamada karti hai aur saahib-e-haq ke haq mein kotaahi karnese rokti hai.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

17 SEP (Aaj Ki Hadees) - Mayyat Ke Saath Teen Cheezein Jaati Hain

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu riwayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Mayyat ke saath teen cheezein jaati hain. Do Cheezein Waapas aajati hain aur ek saath rah jaati hai. Gharwaale, maal aur amaal saath jate hain. Phir ghar waale aur maal waapas aajate hain aur amaal saath rah jaata hai. (Muslim: 7424)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

16 SEP (Aaj Ki Hadees) - Achche Akhlaaq Ke Saath Pesh Aao

Aaj Ki Hadees
Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaaya: Aur Logon Se Achche Akhlaaq Ke Saath Pesh Aao. (TIRMIZI: 1987)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

15 SEP (Aaj Ki Hadees) - Shafa'at

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Sa'id Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Meri Ummat mein baaz afraad woh hongey jo qaumon ki shafa'at kareingey (yani unka maqaam ye hoga ke Allah Ta'ala unko qaumon ki shafa'at ki ijaazat deingey). Baaz woh hongey jo qabile ki shafa'at kareingey, baaz woh hongey jo usbah ki shafa'at kareingey aur baaz woh hongey jo ek aadmi ki shafa'at kar sakeingey (Allah Ta'ala in sab ki sifaarishon ko qubool farmaayeingey), yahaan tak ke woh sab jannat mein pahunch jayeingey. (Tirmizi: 2440)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

14 SEP (Aaj Ki Hadees) - Dozakh Se Nikal Kar Jannat Mein Dakhil Hongey

Aaj Ki Hadees
Hazrat Imran Bin Hussain Raziyallahu Anhuma riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Logon ki ek jamaat jin ka laqab jahannami hoga Hazrat Muhammad ﷺ ki shafa'at par ye log dozakh se nikal kar jannat mein dakhil hongey. (Bukhari: 6566)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Hadees: Duniya Me Sirf Guzaare Ke Barabar Rozi Di Jaati

Share Youtube Link on: WhatsApp

13 SEP (Aaj Ki Hadees) - Gunah Kabira Karne Waalon Ke Haq Mein Meri Shafa'at

Aaj Ki Hadees
Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu farmaate hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Gunah kabira karne waalon ke haq mein meri shafa'at sirf meri ummat ke logon keliye makhsoos hogi (doosri ummaton ke logon ke liye nahi hogi). (Tirmizi: 2435)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

12 SEP (Aaj Ki Hadees) - Allah Ta'ala Se Uska Fazal Maango

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala se uska fazal maango kyunke Allah Ta'ala ko ye baat pasand hai ke unse maanga jaye aur kushadgi (ki dua ke baad kushadgi) ka intezaar karna afzal ibaadat hai. (Tirmizi: 3571)
 
Faida: Kushadgi ke intezaar ka matlab ye hai ke is baat ki umeed rakhi jaye ke jis rehmat, hidaayat, bhalayi keliye dua maangi jaa rahi hai woh In Shaa Allah zaroor hasil hogi.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

11 SEP (Aaj Ki Hadees) - Donon Qabr Waalon Ko Azaab

Aaj Ki Hadees
Ek martaba Huzoor ﷺ do qabron ke paas se guzre, Aap ﷺ ne farmaaya ke in donon qabr waalon ko azaab ho raha hai aur yeh azaab kisi aisi cheez par nahin ho raha hai, jis ko woh chhod nahin sakte the, bila shuba in ka jurm bahot bada hai, in mein se ek apne peshaab ke chheenton se nahin bachta tha aur doosra chugli khaaya karta tha. (Bukhari: 6055)
Share on: WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

10 SEP (Aaj Ki Hadees) - Jo Shakhs Ek Dafa Durood Padhega

Aaj Ki Hadees
Huzoor ﷺ ne farmaaya: Jo shakhs mujh par ek dafa Durood padhega, Allah Ta'ala us par 10 rehmatein naazil farmaayeinge aur us ke 10 gunaah maaf kareinge aur us ke 10 darje buland kareinge. (Nasai: 1297)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Hadees: Dhoke-Baaz, Bakheel Aur Ehsaan Jaataane Waala Aadmi, Jannat Me Na Jaa Sakega

Share Youtube Link on: WhatsApp

09 SEP (Aaj Ki Hadees) - Munafiqeen par sabse zyaada bhaari isha aur fajr ki Namaaz hai

Aaj Ki Hadees
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Munafiqeen par sabse zyaada bhaari isha aur fajr ki Namaaz hai. (Muslim: 1482)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Hadees: Insaan Mein Sab Se Buri Baat Laalach Aur Ghabra Dene Waali Buzdili Hai

Share Youtube Link on: WhatsApp

Hadees: Halaal Tareeqa Ikhtiyaar Karo

Share Youtube Link on: WhatsApp

08 SEP (Aaj Ki Hadees) - Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai

Aaj Ki Hadees
Hadees: Huzoor ﷺ ne farmaaya: Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh har suni sunaai baat ko bayaan karta phire. (Muslim: 7)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp
Share Youtube Link on: WhatsApp

Hadees: Akhlaaq

Share Youtube Link on: WhatsApp